Read Shayari in Hindi

Advertisement

Har Kadam Pe Ro Pade

Raah-e-Wafa Me Humko Khushi Ki Talaash Thi,
Do Kadam Hi Chale The Ki Har Kadam Pe Ro Pade.

राह-ए-वफ़ा में हमको खुशी की तलास थी,
दो कदम ही चले थे कि हर कदम पर रो पड़े।

Har Kadam Par Ro Pade Hindi Sad Shayari
Sad Hindi Shayari

ChupChap Gujaar Denge Tere Bina Bhi Ye Zindagi,
Logon Ko Sikha Denge Mohabbat Aise Bhi Hoti Hai.

चुपचाप गुजार देंगे तेरे बिना भी ये ज़िन्दगी,
लोगों को सिखा देंगे मोहब्बत ऐसे भी होती है।

Na Haath Thaam Sake Aur Na Pakad Sake Daaman,
Bahut Hi Kareeb Se Gujar Kar Bichhad Gaya Koi.

न हाथ थाम सके और न पकड़ सके दामन,
बहुत ही क़रीब से गुज़र कर बिछड़ गया कोई।

Mat Sahal Humein Jano Firta Hai Falak Barson,
Tab Khaak Ke Parde Se Insaan Nikalte Hain.

मत सहल हमें जानो फिरता है फ़लक बरसों,
तब ख़ाक के पर्दे से इंसान निकलते हैं।

Sunte Hain Ki Mil Jaati Hai Har Cheez Dua Se,
Ik Roz Tumhe Maang Ke Dekhenge Khuda Se.

सुनते हैं कि मिल जाती है हर चीज़ दुआ से,
इक रोज़ तुम्हे मांग के देखेंगे खुदा से।

Badi Ajeeb Si Bandish Thi Uski Mohabbat Me,
Na Wo Khud Qaid Kar Saka Na Hum Azaad Ho Sake.

बड़ी अजीव सी बंदिश थी उसकी मोहब्बत में,
न वो खुद क़ैद कर सका न हम आजाद हो सके।

Advertisement

Wo Bhi Badal Gaya

Gujre Dino Ki Bhuli Huyi Baat Ki Tarah,
Aankho Mein Jagta Hai Koyi Raat Ki Tarah,
Us Se Umeed Thi Ki Nibhayega Saath Wo,
Wo Bhi Badal Gaya Mere Halaat Ki Tarah.

गुजरे दिनों की भूली हुई बात की तरह,
आँखों में जगता है कोई रात की तरह,
उससे से उम्मीद थी कि निभाएगा साथ वो,
वो भी बदल गया मेरे हालत की तरह।

Apni Palkon Ko Kabhi Hum Bhigoye Hi Nahi,
Wo Sochte Hain Ke Hum Kabhi Roye Hi Nahi,
Wo Puchhte Hain Ke Khwaabo Me Kise Dekhte Ho?
Aur Hum Hain Ke Ek Umr Se Soye Hi Nahi.

अपनी पलकों को कभी हम भिगोये ही नहीं,
वो सोचते हैं के हम कभी रोये ही नहीं,
वो पूछते हैं के ख्वाबो में किसे देखते हो?
और हम हैं के एक उम्र से सोये ही नहीं।

Har Dard Ko Dafan Kar Gehrayi Me Kahin,
Do Pal Ke Liye Sab Kuchh Bhulaya Jaaye,
Rone Ke Liye Ghar Me Kone Bahut Se Hain,
Aaj Mehfil Me Chalo Sabko Hansaya Jaaye.

हर दर्द को दफ़न कर गहराई में कहीं,
दो पल के लिए सब कुछ भुलाया जाये,
रोने के लिए घर में कोने बहुत से हैं,
आज महफ़िल में चलो सबको हंसाया जाये।

Advertisement

Kaise Gujregi Ye Zindagi

Kya Gam Hai Kya Khushi Malum Nahi,
Wo Apna Hai Ya Ajnabi Malum Nahi,
Jiske Bina Ek Pal Nahi Gujarta Hai,
Kaise Gujregi Ye Zindagi Malum Nahi.

क्या गम है क्या खुशी मालूम नहीं,
वो अपना है या अजनबी मालूम नहीं,
जिसके बिना एक पल नहीं गुजरता है,
कैसे गुजरेगी ये ज़िन्दगी मालूम नहीं।

Kaise Gujregi Ye Zindagi - Sad Shayari

Wo Ruthhte Rahe Aur Hum Manate Rahe,
Unki Raahon Me Palkein Bichhate Rahe,
Unhone Kabhi Palat Kar Bhi Na Dekha,
Hum Palak Jhapkane Se Bhi Katrate Rahe.

वो रुठते रहे और हम मानते रहे,
उनकी राहों में पलके बिछाते रहे,
उन्होंने कभी पलट कर भी नहीं देखा,
हम पलक झपकाने से भी कतराते रहे।

Humne Pyar Nahi Ishq Nahi Ibaadat Ki Hai,
Rasmon Se Riwajon Se Bagawat Ki Hai,
Manga Tha Humne Jise Apni Duaaon Me,
Usi Ne Mujhse Juda Hone Ki Chahat Ki Hai.

हमने प्यार नहीं इश्क नहीं इबादत की है,
रश्मों से रिबाजों से बगाबत की है,
माँगा था हमने जिसे अपनी दुआओं में,
उसी ने मुझसे जुदा होने की चाहत की है।

Advertisement

Phool Khila Karte The

Mere Aagan Mein Bhi Kabhi Phool Khila Karte The,
Meri Aankho Mein Bhi Kuchh Khwab Basa Karte The.

Mujh Ko Halaat Ki Aandhi Ne Giraya Varna,
Mere Seene Mein Bhi Kuchh Log Raha Karte The.

Hai Mujhe Yaad Rafaqat Ki Wo Gehrayian Abhi Bhi,
Dil Khi Dhadkan Bhi Teri Saaf Suna Karte The.

Aaj Mehfil Mein Wo Anjaan Bane Baithe Hain,
Jo Kabhi Mujhe Apni Jaan Kaha Karte The.

Ab Tarasti Hain Teri Deed Ko Aankhein Mohsin,
Ek Zamana Tha Ke Hum Roj Mila Karte The.

मेरे आँगन में भी कभी फूल खिला करते थे,
मेरी आँखों में भी कुछ ख्वाब बसा करते थे।

मुझ को हालात की आंधी ने गिराया वार्ना,
मेरे सीने में भी कुछ लोग रहा करते थे।

है मुझे याद रफक़त की वो गेहराईआं अभी भी,
दिल की धड़कन भी तेरी साफ़ सुना करते थे।

अब तरसती हैं तेरी दीद को आँखें मोहसिन,
एक ज़माना था के हम रोज मिला करते थे।

Advertisement

November Shayari Collection

November Me Kisi Ka Dil Mat Dukhana Dosto,
Suna Hai Sardiyon Ki Chot Aksar Takleef Deti Hai.

नवम्बर में किसी का दिल मत दुखाना दोस्तों,
सुना है सर्दियों की चोट अक्सर तक़लीफ़ देती हैं।

Fir Se Teri Yaaden Mere Dil Ke Darwaje Pe Khadi Hain,
Bahi Mausam Bahi Sardi Bahi Dilkash November Hai.

फिर से तेरी यादें मेरे दिल के दरवाजे पे खड़ी हैं,
वही मौसम वही सर्दी वही दिलकश नवम्बर है।

Ab To November Ki Aakhiri Raat Bhi Gujarne Ko Hai,
Bas Tere Aane Ke Khayal Hi Hain Jo Gujra Nahin Karte.

अब तो नवम्बर की आखिरी रात भी गुजरने को हैं,
बस तेरे आने के ख्याल ही हैं जो गुजरा नहीं करते।

Jahan Hote Ho Tum Dekho Gulabi Shaam Hoti Hai,
Tumhara Zikr Hote Hi November Cheekh Uthta Hai.

जहाँ होते हो तुम देखो गुलाबी शाम होती है,
तुम्हारा ज़िक्र होते ही नवम्बर चीख़ उठता है।

Kaun Hamare Baad Vahan Se Guzara,
Jahan November Aa Kar Thahar Gaya Tha.

कौन हमारे ब'अद वहाँ से गुज़रा,
जहाँ नवम्बर आ कर ठहर गया था।