Aankhein Shayari

Advertisement

Teri Jheel Si Aankhon Mein

Kaid Khane Hain Bin Salakhon Ke,
Kuchh Yun Charche Hain, Tumhari Aankhon Ke.

क़ैद ख़ाने हैं, बिन सलाख़ों के,
कुछ यूँ चर्चे हैं, तुम्हारी आँखों के।

Doob Kar Teri Jheel Si Aankhon Mein,
Ek Maykash Bhi Shayad Peena Bhool Jaye.

डूब कर तेरी झील सी गहरी आँखों में,
एक मयकश भी शायद पीना भूल जाए।

Read more →

Advertisement

Wo Aankhein Tujhse Gehri

Ai Samandar Main Tujhse Waqif Hu
Magar Itna Batata Hu,
Wo Aankhein Tujhse Gehri Hain
Jinka Main Aashiq Hu.

ऐ समंदर मैं तुझसे वाकिफ हूँ
मगर इतना बताता हूँ,
वो ऑंखें तुझसे गहरी हैं 
जिनका मैं आशिक हूँ।

Aankhein Shayari, Wo Aankhein Tujhse Gaheri

Read more →

Advertisement

Nasheeli Aankhon Se

Nasheeli Aankhon Se Wo Jab Hamen Dekhte Hain,
Hum Ghabra Ke Apni Aankhein Jhuka Lete Hain,
Kaise Milaaye Hum Un Aankhon Se Aankhein,
Suna Hai Wo Aankhon Se Apna Bana Lete Hai.

नशीली आंखो से वो जब हमें देखते हैं,
हम घबरा के अपनी ऑंखें झुका लेते हैं,
कैसे मिलाए हम उन आँखों से आँखें,
सुना है वो आँखों से अपना बना लेते हैं।

Aankhein Shayari, Nasheeli Aankhon Se

Read more →

Advertisement

Nigah-e-Lutf Se

Nigah-e-Lutf Se Ek Baar Mujhko Dekh Lete Hain,
Mujhe Bechain Karna Jab Unhen Manjoor Hota Hai.

निगाह-ए-लुत्फ़ से एक बार मुझको देख लेते हैं,
मुझको बेचैन करना जब उन्हें मंजूर होता है ।

Nigah-e-Lutf Se, Aankhen Shayari

Dooba Hua Hun Na Nikal Paunga Main,
Khoobsurat Muskurhat Aur Aankhon Se Meri.

डूबा हुआ हूँ ना निकल पाऊँगा मैं कभी,
ख़ूबसूरत मुस्कुराहट और आँखों से तेरी।

Read more →

Advertisement

Wo Bedeed Hain Aise

Milayenge Nazar Kis Se
Ke Wo Bedeed Hain Aise,
Nahi Aayina Me Aankhein
Milaate Apni Aankho Se.

Jo Wo Aankhon Me Aaya
Kaun Usko Dekh Sakta Tha,
Kasam Aankhon Ki Hum Usko
Chhupate Apni Aankhon Se.

Zafar Giriya Humara
Kuchh Na Kuchh Taseer Rakhta Hai,
Unhe Hum Dekhte Hain
Muskurate Apni Aankhon Se.