Afsos Shayari

Advertisement

Basti Jalti To Afsos Na Hota

Taqdeer Kya Likhun Mukaddar Ke Samne,
Qatil Ne Qatl Kar Diya Mere Ghar Ke Samne,
Sari Basti Jalti To Afsos Na Hota,
Tanha Mera Hi Ghar Jalta Rha Samundar Ke Samne.

तकदीर क्या लिखूं मुकददर के सामने,
कातिल ने क़त्ल कर दिया मेरे घर के सामने,
सारी बस्ती जलती तो अफ़सोस न होता,
तन्हा मेरा ही घर जलता रहा समुन्दर के सामने।

Deewana Mat Kaho Mujh Ko Yun Achha Nahi Lagta,
Bada Afsos Hota Hai Jab Koi Apna Nahi Lagta,
Lagta Hai Ki Hogi Uski Bhi Kuch Majboori,
Uska Is Tarah Chhod Ke Jana Achha Nahi Lagta.

दीवाना मत कहो यूँ मुझको अच्छा नहीं लगता,
बड़ा अफ़सोस होता है जब कोई अपना नहीं होता,
लगता है कि होगी उसकी भी कोई मजबूरी,
उसका इस तरह छोड़ के जाना अच्छा नहीं लगता।

Is Dil Se Usko Bhula Nahin Sakte,
Aisa Kyun Hai Ye Btaa Nahin Sakte,
Muskil To Ye Hai Ki Wo Yakeen Nahi Karte,
Aur Afsos, Humdil Cheer Kar Dikha Nahin Sakte.

इस दिल से उसको भुला नहीं सकते,
ऐसा क्यों है ये बता नहीं सकते,
मुश्किल तो ये है कि वो यकीन नहीं करते,
और अफ़सोस, हम दिल चीर कर दिखा नहीं सकते।

Advertisement

Na Afsos Hai Tujhe

Na Afsos Hai Tujhe Na Koi Sharmindagi Hai,
Guzar Rahi Hai Gunaahon Mein Yeh Kaisi Zindagi Hai.

न अफ़सोस है तुझे न कोई शर्मिंदगी है,
गुजर रही है गुनाहों में यह कैसी ज़िन्दगी है।

Iska Afsos Hai Ki Ham Tujhe Pa Na Sake,
Dilruba Teri Panaho Me Sar Chhupa Na Sake.

इसका अफसोस है कि हम तुझे पा न सके,
दिलरुबा तेरी इन बाँहों में सर छुपा न सके।

sad man

Rakhte The Hontho Pe Ungliyan Jo Mere Marne Ke Naam Se,
Afsos Wahi Log Mere Dil Ke Qatil Nikle.

रखते थे होंठो पे उँगलियाँ जो मेरे मरने के नाम से,
अफ़सोस वही लोग मेरे दिल के कातिल निकले।

Read more →

Advertisement

Afsos Wahi Log

Gam Nahi Ke Tum Bewafa Nikli,
Magar Afsos Iss Baat Ka Hai,
Wo Sab Log Sach Nikle,
Jinse Main Tere Liye Lada Tha.

गम नहीं के तुम बेवफा निकली,
मगर अफ़सोस इस बात का है,
वो सब लोग सच निकले,
जिनसे मैं तेरे लिए लड़ा था।

Pathar Samajh Kar Paon Se Thokr Laga Di,
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe,
Kya Umeedein Bandh Kar Aaya Tha Samne,
Us Ne To Aankh Bhar Ke Dekha Nahi Mujhe.

पत्थर समझ कर पांव से ठोकर लगा दी,
अफ़सोस तेरी आँख ने परखा नहीं मुझे,
क्या उम्मीदें बाँध कर आया था सामने,
उस ने तो आँख भर कर देखा नहीं मुझे।

Read more →

Advertisement

Fir Bhi Afsos Hai

Very Sad Afsos Shayari

Is Chaman Me Udasi Bani Rah Gai,
Tum Na Aaye, Tumhari Kami Rah Gai,
Hasrato Me Jiya Fir Bhi Afsos Hai,
Justju Duaon Ki Bachi Rah Gai,
Dil Jalane Se Fursat Kahan Thi Use,
Samma Jo Thi Bhujhi Wo Bujhi Rah Gayi,
Jo Mila Tha Basar Ke Liye Kam Na Tha,
Par Jarurat Nayi Kuchh Lagi Rah Gayi,
Pattharo Ke Dilon Me Nami Dekhiye,
Jo Ugi Ghas Thi Wo Hari Rah Gayi,
Jis Najar Ki Himayat Me Tum The Sada,
Wo Najar To Jhuki Ki Jhuki Rah Gayi,
Osh Ke Chand Katron Se Hota Bhi Kya,
Pyas Jasi Thi Baisi Hi Rah Gayi.

Read more →

Advertisement
12Next ›