Shayari on Beauty

Advertisement

Ruthh Kar Aur Bhi Haseen

Ruke To Chand Chale To Hawaaon Jaisa Hai,
Wo Shakhs Dhoop Me Bhi Chhaaon Jaisa Hai.

रुके तो चाँद चले तो हवाओं जैसा है,
वो शख्स धूप में भी छाव जैसा है।

Ruthh Kar Kuchh Aur Bhi Haseen Lagte Ho,
Bas Yehi Soch Kar Tum Ko Khafa Rakha Hai.

रूठ कर कुछ और भी हसीन लगते हो,
बस यही सोच कर तुमको खफा रखा है।

Ruth Kar Bhi Haseen - Shayari On Beauty

दिल में शमा गयी हैं कयामत की शोखियाँ,
दो चार दिन रहा था किसी की निगाह में। 

Tere Husn Ko Parde Ki Jarurat Kya Hai Zalim,
Kaun Rehta Hai Hosh Me Tujhe Dekhne Ke Baad.

तेरे हुस्न को परदे कि जरुरत क्या है,
कौन रहता है होश में तुझे देखने के बाद।

Teri Tareef Me Kuchh Lafz Kam Pad Gaye,
Varna Hum Bhi Kisi Ghalib Se Kam Nahi.

तेरी तारीफ में कुछ लब्ज कम पड़ गए,
वरना हम भी किसी ग़ालिब से कम नहीं।

Nazuki Uske Labon Ki Kya Kahiye,
Pankhudi Ik Gulaab Ki Si Hai.

नाज़ुक उसके लबों की क्या कहिये,
पंखुड़ी इक गुलाब की सी है।

Advertisement

Ye Labon Ke Maikhane

Ye Gesuon Ki Ghatayein Ye Labon Ke Maikhane,
Nigaah-e-Shauq Khudaya Kahan Kahan Thhehre.

ये गेशुओं कि घटायें ये लबों के महखाने,
निगाह-ए-शौक खुदाया कहाँ कहाँ ठेहरे।

Meri Nigahe-Shauq Bhi Kuchh Kam Nahi Magar,
Fir Bhi Tera Shabaab Tera Hi Shabaab Hai.

मेरी निगाह-ए-शौक भी कुछ कम नहीं मगर,
फिर भी तेरा शबाब तेरा ही शबाब है।

Abhi Is Taraf Na Nigaah Kar Main Ghazal Ki Palkein Sanwaar Lu,
Mera Lafz-Lafz Ho Aayina Tujhe Aayine Me Utaar Lu.

अभी इस तरफ न निगाह कर मैं ग़ज़ल की पलकें सवार लू,
मेरा लफ्ज़-लफ्ज़ हो आइना तुझे आईने में उतार लूँ।

Adaa Aayi Jafa Aayi Garur Aaya Itaab Aaya,
Hajaron Aaftein Lekar Haseeno Ka Shabaab Aaya.

अदा आफतें जफा आयी गरूर आया इताब आया,
हजारों आफतें लेकर हसीनो का शबाब आया।

Shokhi Se Thhaherati Nahi Qatil Ki Nazar Aaj,
Yeh Barq-e-Bala Dekhiye Girti Hai Kidhar Aaj.

शोखी से ठाहेरती नहीं कातिल की नजर आज,
ये बर्क-ए-बाला देखिये गिरती है किधर आज।

Dil Me Samaa Gayi Hain Qayamat Ki Shokhiyan,
Do Char Din Raha Tha Kisi Ki Nigaah Mein.

Advertisement

Tujhpe Sajti Hai Haya

Tujhko Sajne Sawarne Ki Jarurat Hi Kya Hai,
Tujhpe Sajti Hai Haya Bhi Kisi Jewar Ki Tarah.

तुझको सजने सवारने की जरुरत ही क्या है,
तुझपे सजती है हया भी किसी जेवर की तरह।

Tujhpe Sajti Hai Haya - New Shayari on Beauty

Advertisement

Nazakat Se Unka Dekhna

Nazakat Le Ke Aankho Me,
Wo Unka Dekhna Tauba,
Ya Khuda Hum Unhein Dekhe
Ke Unka Dekhna Dekhe.

नजाकत ले के आँखों में,
वो उनका देखना तौबा,
या खुदा हम उन्हें देखें,
के उनका देखना देखें।

Beauty Shayari Dekhne Ki Nazakat

Advertisement
123Next ›