Bewafai Shayari

Advertisement

Wo Bewafa Hai

Nazar Nazar Se Milegi To Sar Jhuka Lega,
Wo Bewafa Hai Mera Imtehaan Kya Lega,
Use Chirag Jalaane Ko Mat Keh Dena.
Wo Na Samajh Hai Kahin Ungliyan Jala Lega.

नज़र नज़र से मिलेगी तो सर झुका लेंगे,
वो बेवफा है मेरा इम्तहान क्या लेगा,
उसे चिराग जलाने को मत कह देना,
वो ना समझ है कहीं उँगलियाँ जला लेगा।

Janaja Mera Uth Raha Tha,
Fir Bhi Takleef Thi Use Aane Me,
Bewafa Ghar Me Baithi Pooch Rahi Thi,
Aur Kitni Der Hai Dafnane Me.

जनाजा मेरा उठ रहा था,
फिर भी तकलीफ थी उसे आने में,
बेवफा घर में बैठी पूछ रही थी,
और कितनी देर है दफनाने में।

Read more →

Advertisement

Wafa Ki Ummeed

Meri Mohabbat Sachchi Hai Isliye Teri Yaad Aati Hai,
Agar Teri Bewafai Sachchi Hai To Ab Yaad Mat Aana.

मेरी मोहब्बत सच्ची है इसलिए तेरी याद आती है,
अगर तेरी बेवफाई सच्ची है तो अब याद मत आना।

Iss Daur Mein Ki Thi Jis Se Wafa Ki Ummeed,
Aakhir Ko Usi Ke Haath Ka Patthar Laga Mujhe.

इस दौर में की थी जिस से वफ़ा की उम्मीद,
आखिर को उसी के हाथ का पत्थर लगा मुझे।

Roye Kuchh Iss Tarah Se Mere Jism Se Lipat Ke,
Aisa Laga Ke Jaise Kabhi Bewafa Na The Wo.

रोये कुछ इस तरह से मेरे जिस्म से लिपट के,
ऐसा लगा के जैसे कभी बेवफा न थे वो।

Read more →

Advertisement

Bewafaon Ki Iss Duniya Me

Ab Dekhiye To Kis Ki Jaan Jaati Hai,
Maine Uski Aur Usne Meri Qasam Khayi Hai.

अब देखिये तो किस की जान जाती है,
मैंने उसकी और उसने मेरी कसम खायी है।

Bewafaon Ki Iss Duniya Me Sambhal Kar Chalna,
Yehan Mohabbat Se Bhi Barbaad Kar Dete Hain Log.

बेवफाओं की इस दुनिया में संभल कर चलना,
यहाँ मोहब्बत से भी बरबाद कर देतें हैं लोग।

Wo Jise Samjhti Thi Zindagi, Meri Dharkano Ka Fareb Tha
Mujhe Muskurana Sikha Ke Wo Meri Rooh Tak Rula Gayi,

वो जिसे समझती थी ज़िन्दगी, मेरी धड़कनो का फरेब था,
मुझे मुस्कुराना सिखा के, वो मेरी रूह तक रुला गयी।

Mohabbat Se Bhari Koyi Ghazal Use Pasand Nahi,
Bewafai Ke Har Sher Pe Wo Daad Diya Karte Hain.

मोहब्बत से भरी कोई गजल उसे पसंद नहीं,
बेवफाई के हर शेर पे वो दाद दिया करते हैं।

Kahte The Jo Teri Khatir Jaan Bhi Luta Denge,
Aaj Kahte Hain Mera Hath Chhod Do Izzat Ka Sawal Hai.

कहते थे जो तेरी खातिर जान भी लुटा देंगे,
आज कहते हैं मेरा हाथ छोड़ दो इज्जत का सवाल है।

Tune Jo Mita Dala Tha Mujhko Bewafa,
Meri Paak Mohabbat Ki Ek Taseer Abhi Baaki Hai.

तुने जो मिटा डाला था मुझको बेवफा,
मेरी पाक मुहब्बत की एक तासीर अभी बाकी है।

Kar Diya Kurbaan Khud Ko Humne Wafa Ke Naam Par,
Chhod Gaye Wo Humko Akela Majbooryon Ke Naam Par.

कर दिया कुर्बान खुद को हमने वफ़ा के नाम पर,
छोड़ गए वो हमको अकेला मजबूरियों के नाम पर।

Chalo Itna To Nikla Kaam Baham Aashnai Se,
Wafa Se Hum Ho Gaye Ashna Aur Tum Bewafai Se.

चलो इतना तो निकला काम बहम आशनाई से,
वफ़ा से हम हो गए आशना और तुम बेवफाई से।

Advertisement

Bewafai Pe Fida Jaan

Uski Bewafai Pe Bhi Fida Hoti Hai Jaan Apni,
Agar Uss Me Wafa Hoti To Kya Hota Khuda Jane.

उसकी बेवफाई पे भी फ़िदा होती है जान अपनी,
अगर उसमे वफ़ा होती तो क्या होता खुदा जाने।

alone boy

Read more →

Advertisement

Uski Bewafai

Do Dilo Ki Dhadkano Ne Ek Saaz Hota Hai,
Sabko Apni Apni Mohabbat Par Naaz Hota Hai,
Usme Se Har Ek Bewafa Nahi Hota,
Uski Bewafai Ke Peechhe Bhi Koi Raaz Hota Hai.

दो दिलों की धड़कनों में एक साज़ होता है,
सबको अपनी-अपनी मोहब्बत पर नाज़ होता है,
उसमें से हर एक बेवफा नहीं होता,
उसकी बेवफ़ाई के पीछे भी कोई राज होता है।

shayari bewafai

Read more →