Advertisement

Gareebo Ke Bacche

Gareebo Ke Bacche Bhi Khana Kha Ske Tyuharo Me,
Tbhi To Bhagwaan Khud Bik Jate Hai Bazaro Me.

गरीबों के बच्चे भी खाना खा सके त्योहारों में,
तभी तो भगवान खुद बिक जाते हैं बाजारों में।

Sahem UthhTe Hain Kachche Makaan Paani Ke Khauf Se,
Mahalon Ki Aarzoo Yeh Hai Ke Barsaat Tej Ho.

सहम उठते हैं कच्चे मकान पानी के खौफ़ से,
महलों की आरज़ू ये है कि बरसात तेज हो।

Jab Bhi Dekhta Hu Kisi Gareeb Ko Haste Hue,
Yakeenan Khushion Ka Talluq Daulat Se Nahi Hota.

जब भी देखता हूँ किसी गरीब को हसते हुए,
यकीनन खुशियों का ताल्लुक दौलत से नहीं होता।

Unn Gharo Me Jahan Mitti Ke Gharhe Rehte Hain,
Kad Me Chhote Magar Log Bade Rahte Hain.

Advertisement

उन घरों में जहाँ मिटटी के घड़े रहते हैं,
कद में छोटे मगर लोग बड़े रहते हैं।

Shaam Ko Thak Kar Toote Jhopde Mein So Jata Hai,
Wo Majadoor, Jo Shahar Mein Oonchi Imarten Banata Hai.

शाम को थक कर टूटे झोपड़े में सो जाता है
वो मजदूर, जो शहर में ऊंची इमारतें बनाता है।

Ameer Ki Beti Paarlar Mein Jitana De Aati Hai,
Utne Mein Gareeb Ki Beti Apne Sasural Chali Jaati Hai.

अमीर की बेटी पार्लर में जितना दे आती है,
उतने में गरीब की बेटी अपने ससुराल चली जाती है।

Advertisement

Comments