Hurt Shayari

Advertisement

Vaadon Ke Adhure Kisse

Samet Kar Le Jao Apne Jhoothe Vaadon Ke Adhure Kisse,
Agli Mohabbat Mein Tumhein Phir Inki Zarurat Padegi.

समेट कर ले जाओ अपने झूठे वादों के अधूरे किस्से,
अगली मोहब्बत में तुम्हे फिर इनकी जरुरत पड़ेगी।

Samet Kar Le Jao - Hurt Shayari

Zakhm Jhele Daag Bhi Khaaye Bahut,
Dil Laga Kar Hum To Pachhtaye Bahut.

ज़ख्म झेले दाग भी खाए बहुत,
दिल लगाकर हम तो पछताए बहुत।

Laga Na Dil Ko Kya Suna Nahi Tu Ne,
Jo Kuchh Mir Ka Aashiqui Ne Haal Kiya.

लगा न दिल को क्या सुना नहीं तू ने,
जो कुछ मीर का आशिकी ने हाल किया।

Bejaan To Main Ab Bhi Nahi Faraz,
Magar Jise Jaan Kehte The Wo Chhod Gaya.

बेजान तो मैं अब भी नहीं फ़राज़,
मगर जिसे जान कहते थे वो छोड़ गया।

Ishq Aur Mohabbat Ki Baatein Koi Na Karna,
Ek Shakhs Ne Jee Bhar Ke Hume Rulaya Jo Hai.

इश्क और मोहब्बत की बातें कोई न करना,
एक शख्स ने जी भर के हमे रुलाया जो है।

Maagne Se Mil Sakti Nahi Hume Ek Bhi Khushi,
Paye Hain Laakh Ranj Tamanna Kiye Bagair.

मांगने से मिल सकती नहीं हमे एक भी खुशी,
पाए हैं लाख रंज तमन्ना किये बगैर।

Advertisement

Zindagi Sirf Mohabbat Nahi

Zindagi Sirf Mohabbat Nahi Kuchh Aur Bhi Hai,
Zulfo-Rukhsaar Ki Jannat Nahi Kuchh Aur Bhi Hai,
Bhukh Aur Pyaas Ki Maari Hui Iss Duniya Me,
Ishq Hi Ek Hakiqat Nahi Kuchh Aur Bhi Hai.

ज़िन्दगी सिर्फ मोहब्बत नहीं कुछ और भी है,
जुल्फों-रुखसार की जन्नत नहीं कुछ और भी है,
भूख और प्यास की मारी हुई इस दुनिया में,
इश्क ही एक हकीकत नहीं कुछ और भी है।

Aanshu Aa Jate Hain Rone Se Pehle,
Khwaab Toot Jate Hain Sone Se Pehle,
Log Kehte Hain Mohabbat Gunaah Hai,
Koyi Rok Leta Ise Hone Se Pehle.

आँसू आ जाते हैं रोने से पहले,
ख्वाब टूट जाते हैं सोने से पहले,
लोग कहते हैं मोहब्बत गुनाह है,
कोई रोक लेता इसे होने से पहले।

Sitam Sah Kar Bhi Kitne Gam Chhipaye Humne,
Teri Khatir Har Din Aansu Bahaaye Humne,
Tu Chhod Gaya Jahan Humein Raahon Me Akela,
Tere Diye Zakhm Har Ek Se Chhupaye Humne.

सितम सह कर भी कितने गम छिपाए हमने,
तेरी खातिर हर दिन आँसू बहाए हमने,
तू छोड़ गया जहाँ हमे राहों में अकेला,
तेरे दिए जखम हर एक से छिपाए हमने।

Zakhm Jo Tu Ne Diya Wo Gahara Diya,
Karke Vaada Tu Ne Humko Bhula Diya,
Dard Dene Wale Tera Dil Se Shukriya,
Jo Zindagi Ka Tu Ne Matlab Sikha Diya.

ज़ख्म जो तू ने दिया वो गहरा दिया,
करके वादा तू ने हमको भुला दिया,
दर्द देने वाले तेरा दिल से शुक्रिया,
जो ज़िन्दगी का तूने मतलब सिखा दिया।

Kisi Ki Raah Me Aankhein Bichha Kar Kuchh Nahi Milta,
Ye Duniya Bewafa Hai Dil Laga Kar Kuchh Nahi Milta,
Koi Bhi Laut Kar Phir Aata Nahi Aansoo Bahane Se,
Kisi Ki Yaad Me Dil Ko Rula Kar Kuchh Nahi Milta.

किसी की राह में आँखें बिछा कर कुछ नहीं मिलता,
ये दुनिया बेवफा है   दिल लगाकर कुछ नहीं मिलता,
कोई भी लौट कर फिर आता नहीं आँसू बहाने से,
किसी की याद में दिल को रुलाकर कुछ नहीं मिलता।

Advertisement

Najar-andaz Karte Ho

Najar-andaz Karte Ho Lo Hatt Jate Hain Nazron Se,
Inhi Nazron Se Dhundhoge Nazar Jab Hum Na Aayenge.

नजर-अंदाज़ करते हो लो हट जाते हैं नजरो से,
इन्हीं नजरों से ढूढ़ोगे नजर जब हम न आएंगे।

Najar Andaaj Karte Ho - Hurt Shayari

Doobi Hain Meri Ungliya Khud Apne Lahu Me,
Ye Kaanch Ke Tukdon Ko Uthane Ki Saza Hai.

डूबी हैं मेरी उँगलियाँ खुद अपने लहू में,
ये काँच के टुकड़ों को उठाने की सजा है।

Shakh Se Tode Gaye Phool Ne Hans Kar Ye Kaha,
Achha Hona Bhi Buri Baat Hai Iss Duniya Me.

शाख से तोड़े हुए फूल ने हंस कर ये कहा,
अच्छा होना भी बुरी बात है इस दुनिया में।

Ab Soch Rahe Hain Seekh Hi Le Hum Bhi Berukhi Karna,
Mohabbat Dete Dete Sabko Humne Apni Hi Kadar Kho Di.

अब सोच रहे हैं सीख ही ले हम भी बेरुखी करना,
मोहब्बत देते दते सबको हमने अपनी ही कद्र खो दी।

Advertisement

Meri Kismat Me Nahi

Kadr Har Shai Ki Hua Karti Hai Kho Jane Par,
Tum Unhe Yaad Karoge Jo Abhi Tumhe Yaad Nahi.

कद्र हर शाये कि हुआ करती है खो जाने पर,
तुम उन्हें याद करोगे जो अभी तुम्हे याद नहीं।

Gair Mumkin Hai Tere Ghar Ke Gulabon Me Shumar,
Mere Risste Huye Zakhmo Ke Hisaabon Ki Tarah.

गैर मुमकिन है तेरे घर के गुलाबों में शुमार,
मेरे रिस्ते हुए ज़ख्मो के हिसाबो की तरह।

Meri Chaahat Ko Mere Haalaat Ke Taraju Me Na Taul,
Maine Wo Zakhm Bhi Khaye Hain Jo Meri Kismat Me Nahi The.

मेरी चाहत को मेरे हालात के तराजू में न तौल,
मैंने वो ज़ख्म भी खाए हैं जो मेरी किस्मत में नहीं थे।

Khaate Rahe Fareb Sambhalte Rahe Kadam,
Chalte Rahe Junoon Ka Sahara Liye Huye.

खाते रहे फरेब सँभालते रहे कदम,
चलते रहे जूनून का सहारा लिए हुए।

Diye Hain Zakhm To Marham Ka Takalluf Na Karo,
Kuchh To Rahne Do Meri Zaat Pe Ehsaan Apna.

दिए हैं ज़ख्म तो मरहम का तकल्लुफ न करो,
कुछ तो रहने दो मेरी ज़ात पे एहसान अपना।

Wo Ek Baat Bahut Talkh Kahi Thi Usne,
Baat To Yaad Nahi Yaad Hai Lehja Uska.

वो एक बात बहुत तलख कही थी उसने,
बात तो याद नहीं याद है लहेजा उसका।

Advertisement

Dil Ko Dukhane Ke Liye Aa

Ranjish Hi Sahi Dil Ko Dukhane Ke Liye ,
Aa Fir Se Mujhe Chhod Jaane Ke Liye Aa.

रंजिश ही सही दिल को दुखाने के लिए आ,
आ फिर से मुझे छोड़ जाने के लिए आ।

Dil Ko Dukhane Ke Liye Aa - Hurt Shayari

‹ Prev12