Insaniyat Shayari

Advertisement

Insaan Bana Dala

Humari Aarjuon Ne Hume Insaan Bana Dala,
Varna Jab Jahan Me Aaye The Bande The Khuda Ke.

हमारी आरजूओं ने हमें इंसान बना डाला,
वर्ना जब जहाँ में आये थे बन्दे थे खुदा के।

Insaan Bana Dala - Insaniyat Shayari Hindi

Pahle Jamin Banti Phir Ghar Bhi Bant Gaya,
Insaan Apne Aap Me Kitna Simat Gaya.

पहले जमीन बंटी फिर घर भी बाँट गया,
इंसान अपने आप में कितना सिमट गया।

Chand Sikkon Me Bikta Hai Yeha Insaan Ka Zamir,
Kaun Kehta Hai Mere Mulk Me Mehgayi Bahut Hai.

चंद सिक्कों में बिकता है यहाँ इंसान का ज़मीर,
कौन कहता है मेरे मुल्क में महंगाई बहुत है।

Aayina Koi Aisa Banaa De Aye Khuda,
Jo Insaan Ka Chehra Nahi Kirdaar Dikha De.

आइना कोई ऐसा बना दे, ऐ खुदा जो,
इंसान का चेहरा नहीं किरदार दिखा दे।

Ai Aasmaan Tere Khuda Ka Nahin Hai Khauf
Darte Hain Ai Zameen Tere Aadmi Se Ham.

ऐ आसमान तेरे ख़ुदा का नहीं है ख़ौफ़
डरते हैं ऐ ज़मीन तिरे आदमी से हम।

Bahut Hain Sajda-Gaahen Par Dar-E-Janaan Nahin Milta
Hazaron Devta Hain Har Taraf Insaan Nahin Milta.

बहुत हैं सज्दा-गाहें पर दर-ए-जानाँ नहीं मिलता
हज़ारों देवता हैं हर तरफ़ इंसाँ नहीं मिलता।

Advertisement

Yehan Libaas Ki Keemat

Yehan Libaas Ki Keemat Hai Aadmi Ki Nahi,
Mujhe Gilaas Bade De Sharaab Kam Kar De.

यहाँ लिबास की क़ीमत है आदमी की नहीं,
मुझे गिलास बड़े दे शराब कम कर दे।

Meri Jubaan Ke Mausam Badalte Rahte Hain,
Main To Aadmi Hun Mera Aitbaar Mat Karna.

मेरी जबान के मौसम बदलते रहते हैं,
मैं तो आदमी हूँ मेरा ऐतबार मत करना।

Aayina Koi Aisa Banaa De Aye Khuda,
Jo Insaan Ka Chehra Nahi Kirdaar Dikha De.

आइना कोई ऐसा बना दे ए खुदा,
जो इंसान का चेहरा नहीं किरदार दिखा दे।

Dil Ke Mandiron Me Kahin Bandgi Nahi Karte,
Patthar Ki Imarto Me Khuda Dhoondhte Hain Log.

दिल के मंदिरों में कहीं बंदगी नहीं करते,
पत्थर की इमारतों में खुदा ढूंढ़ते हैं लोग।

Is Daur Me Insan Ka Chehra Nahin Milta,
Kab Se Main Naqabon Ko Tahen Khol Raha Hoon.

इस दौर में इंसान का चेहरा नहीं मिलता
कब से मैं नक़ाबों की तहें खोल रहा हूँ।

Isiliye To Yahan Ab Bhi Ajnabi Hoon Main
Tamam Log Farishte Hain Aadmi Hoon Main.

इसीलिए तो यहाँ अब भी अजनबी हूँ मैं
तमाम लोग फ़रिश्ते हैं आदमी हूँ मैं।

Advertisement

Insaan Kahan Milta

Dhoondhne Se To Bashar Ko Khuda Bhi Milta Hai
Khuda Agar Dhoonde To Insaan Kahan Milta Hai.

ढूंढ़ने से तो बशर को खुदा भी मिलता है
खुदा अगर ढूंढे तो इंसान कहाँ मिलता है।

Insaan Kahan Milta Hai - New Insaniyat Shayari Hindi

Read more →

Advertisement

Zameer Jag Hi Jaata Hai

Zameer Jag Hi Jaata Hai Agar Zinda Ho Iqbal,
Kabhi Gunaah Se Pehle To Kabhi Gunaah Ke Baad.

ज़मीर जाग ही जाता है अगर ज़िन्दा हो इक़बाल,
कभी गुनाह से पहले तो कभी गुनाह के बाद।

Insaniyat To Maine Aaj Blod Bank Me Dekhi Thi,
Khoon Ki Botlon Par Majhab Likha Nahi Hota.

इंसानियत तो मैंने आज ब्लड बैंक में देखी थी,
खून की बोतलों पर मजहब लिखा नही होता।

Har Insaan Me Hote Hain Das Bees Insaan,
Jis Ko Bhi Dekhna Ho Kai Baar Dekhna.

हर इंसान में होते हैं दस बीस इंसान,
जिस को भी देखना हो कई बार देखना।

Rakhte Hain Jo Auron Ke Liye Pyar Ka Jajba,
Wo Log Kabhi Toot Kar Bikhra Nahin Karte.

रखते हैं जो औरों के लिए प्यार का जज्बा,
वो लोग कभी टूट कर बिखरा नहीं करते।

Gharon Pe Naam The Naamo Ke Saath Ohade The,
Bahut Talash Kiya Koi Insaan Na Mila.

घरों पे नाम थे नामों के साथ ओहदे थे,
बहुत तलाश किया कोई इन्सान न मिला।

Jo Bhi Aapse Jhuk Ke Jo Milta Hoga,
Uska Kad Aapse Ooncha Hoga.

जो भी आपसे झुक के जो मिलता होगा,
उसका कद आपसे ऊंचा होगा।

Advertisement

Insaan Hi Nahin Milta

Khuda To Milta Hai Par Insaan Hi Nahin Milta,
Ye Cheez Wo Hai Jo Dekhi Kahin Kahin Maine.

खुदा तो मिलता है पर इंसान ही नहीं मिलता,
ये चीज़ वो है जो देखी कहीं कहीं मैंने।

Innsaan Hi Nahi Milta - Insaniyat Shayari

Read more →

‹ Prev12