Insaniyat Shayari

Advertisement

Main Insaan Hoon

Baat Unchi Thi Magar Baat Jara Kaam Aanki,
Mere Jazbaat Ki Aukaat Jara Kam Aanki,
Wo Farishta Keh Ke Mujhko Jaleel Karta Raha,
Main Insaan Hoon Meri Jaat Jara Kam Aanki.

बात ऊँची थी मगर बात जरा काम आंकी,
मेरे जज़्बात की औकात जरा कम आंकी,
वो फरिश्ता कह के मुझको जलील करता रहा,
मैं इंसान हूँ मेरी जात जरा कम आंकी।

Kahin Eesaa Kahin Maula Kahin Bhagwan Rahte Hain,
Humare Haal Se Shayad Sabhi Anjaan Rahte Hain,
Chale Aaye Tabiyat Aaj Bhari Si Lagi Apni,
Suna Tha Aapki Basti Mein Kuchh Insaan Rahte Hain.

कही ईसा, कहीं मौला, कहीं भगवान रहते हैं,
हमारे हाल से शायद सभी अंजान रहते हैं,
चले आये, तबीयत आज भारी सी लगी अपनी,
सुना था आपकी बस्ती में कुछ इंसान रहते हैं।

Jinda Rahne Ke Liye Bhi, Aaj Marna Jaruri Hai,
Ki Ye Duniya Laasho Ki Shauqeen Ho Gayi Hai,
Aankhen Band Kar Ke Tamasha Dekh Raha Hai Insan,
Insaniyat Jaise Zameen Ke Andar So Gayi Hai.

जिंदा रहने के लिए भी, आज मरना जरूरी है,
कि ये दुनिया लाशो की शौक़ीन हो गई है,
आँखें बंद कर के तमाशा देख रहा है इंसान,
इंसानियत जैसे ज़मीन के अंदर सो गई है।

Advertisement
12Next ›