Khamoshi Shayari

Advertisement

Teri Khamoshi Agar

Teri Khamoshi Agar Teri Majboori Hai,
To Rehne De Ishq Kaun Sa Jaruri Hai.

तेरी खामोशी अगर तेरी मजबूरी है,
तो रहने दे इश्क कौन सा जरुरी है।

Teri Khamoshi Agar - Khamoshi Shayari Hindi

Khamoshi Bahut Kuchh Kahti Hai Dost,
Kaano Se Nahin, Ek Baar Dil Se Suno.

ख़ामोशी बहुत कुछ कहती है दोस्त,
कानो से नहीं, एक बार दिल से सुनो।

Khamoshi Se Banate Rahiye Apni Pahachaan,
Hawaein Khud Gunagunaegi Naam Aapaka.

खामोशी से बनाते रहिये अपनी पहचान,
हवाएँ ख़ुद गुनगुनाएगी नाम आपका।

Meri Khamoshiyon Par Bhi Sau Sawal Uth Rahe The,
Do Lafz Kya Bole Mujhe Begairat Bana Diya.

मेरी खामोशियों पर भी सौ सवाल उठ रहे थे,
दो लफ्ज़ क्या बोले मुझे बेगैरत बना दिया।

Log To So Lete Hain Zamane Ki Chahal Pahal Me Bhi,
Mujhe To Teri Khamoshi Sone Nahi Deti.

लोग तो सो लेते हैं जमाने कि चाहेल पहेल में,
मुझे तो तेरी खामोशी सोने नहीं देती।

Yun To Ek Aawaz Dun Aur Bula Lun Tumhen,
Magar Koshish Ye Hai Ki Khamoshi Ko Bhi Aazama Lun Zara.

यूँ तो एक आवाज़ दूँ और बुला लूँ तुम्हें,
मगर कोशिश ये है कि खामोशी को भी आज़मा लूँ ज़रा।

Apni Khamoshi Me Mujhe Kyu Talash Rahe Hain Hujoor,
Apni Dhadakanon Se Poochho Mera Ek Basera bahan Bhi Hai.

अपनी खामोशी में मुझे क्यूँ तलाश रहे है हुजूर,
अपनी धड़कनों से पूछो मेरा एक बसेरा वहां भी है।

Kin Lafjon Mei Likhun, Main Apne Intazaar Ko Tumhen,
Bejubaan Hai Ishq Mera, Aur Dhoondhta Hai Khamoshi Se Tujhe

किन लफ्जों में लिखूँ, मैं अपने इन्तजार को तुम्हें,
बेजुबां है इश्क़ मेरा, और ढूँढता हैं खामोशी से तुझे।

Advertisement

Khamoshi Ko Koi Samjhe

Bheegi Aankho Se Muskurane Ka Maza Aur Hai,
Hanste Hanste Palke Bhigone Ka Maza Aur Hai,
Baat Keh Ke To Koi Bhi Samjh Leta Hai,
Khamoshi Ko Koi Samjhe To Maza Aur Hai.

भीगी आँखों से मुस्कुराने का मजा और है,
हँसते हँसते पलके भिगोने का मजा और है,
बात कह के तो कोई भी समझ लेता है,
खामोशी को कोई समझे तो मजा और है।

Khamoshi Ko Koi Samjhe - Khamoshi Shayari

Read more →

Advertisement

Labon Pe Yeh Khamoshi

Gila-Shiqwa Hi Kar Dalo Ke Kuchh Waqt Kat Jaye,
Labon Pe Aapke Yeh Khamoshi Achhi Nahi Lagti.

गिला शिकवा ही कर डालो के कुछ वक़्त कट जाए,
लबो पे आपके यह खामोशी अच्छी नहीं लगती।

Teri Khamoshi Jala Deti Hai Iss Dil Ki Tamannao Ko,
Baaki Sari Baatein Achhi Hain Teri Tasveer Mein.

तेरी खामोशी जला देती है इस दिल की तमन्नाओ को,
बाकी सारी बातें अच्छी हैं तेरी तश्वीर में।

Mohabbat Nahi Thi To Ek Baar Samjahaya To Hota,
Naadan Dil Teri Kahamoshi Ko Ishq Samajh Baitha.

मोहब्बत नहीं थी तो एक बार समझाया तो होता,
नादान दिल तेरी खामोशी को इश्क समझ बैठा।

Haqikat Me Khamoshi Kabhi Bhi Chup Nahi Rahti Hai,
Kabhi Tum Gaur Se Sunna Bahut Kisse Sunaati Hai.

हक़ीकत में खामोशी कभी भी चुप नहीं रहती है,
कभी तुम गौर से सुनना बहुत किस्से सुनाती है।

Ham To Gum The Kisi Ki Khamoshi Mein,
Aapne Yaad Dilaaya To Wo Waqt Yaad Aaya.

हम तो गुम थे किसी की खामोशी में,
आपने याद दिलाया तो वो वक़्त याद आया।

Bejubaan Mahafil Mein Shor Hone Laga,
Na Jaane Kaun Padh Gaya Khamoshi Meri.

बेजुबां महफिल में शोर होने लगा,
ना जाने कौन पढ़ गया खामोशी मेरी।

Advertisement
12Next ›