Mausam Shayari

Advertisement

Mausam Mere Zakhmo Ko

Jiske Aane Se Mere Zakhm Bhara Karte The,
Ab Wo Mausam Mere Zakhmo Ko Haraa Harte Hain.

जिसके आने से मेरे ज़ख्म भरा करते थे,
अब वो मौसम मेरे ज़ख्मो को हरा करते हैं।

Kuchh To Tere Mausam Hi Mujhe Raas Kam Aaye,
Aur Kuchh Meri Mitti Me Bagawat Bhi Bahut Thi.

कुछ तो तेरे मौसम ही मुझे रास कम आये,
और कुछ तेरी मिटटी में बगावत भी बहुत थी।

Kuchh To Hawa Bhi Sard Thi Kuchh Tha Tera Khayal Bhi,
Dil Ko Khushi Ke Saath Saath Hota Raha Malaal Bhi.

कुछ तो हवा भी सर्द थी कुछ था तेरा ख्याल भी,
दिल को खुशी के साथ साथ होता रहा मलाल भी।

Tumhare Shahar Ka Mausam Bada Suhana Lage,
Main Ek Shaam Chura Lun Agar Bura Na Lage.

तुम्हारे शहर का मौसम बड़ा सुहाना लगे,
मैं शाम चुरा लूँ अगर बुरा न लगे।

Advertisement

Jo Aane Wale Hain Mausam

Yuhin Shaakh Se Patte Gira Nahi Karte,
Bichhad Ke Log Bhi Zyada Jiya Nahi Karte,
Jo Aane Wale Hain Mausam Unka Ehtraam Karo,
Jo Din Gujar Gaye Unko Gina Nahi Karte.

यूँ ही शाख से पत्ते गिरा नहीं करते,
बिछड़ के लोग भी ज्यादा जिया नहीं करते,
जो आने वाले हैं मौसम उनका एहतराम करो,
जो दिन गुजर गए उनको गिना नहीं करते।

Advertisement
12Next ›