Waqt Shayari

Advertisement

Hindi Waqt Shayari, Shayad Yeh Waqt

Shayad Yah Waqt Ham Se Koi Chaal Chal Gaya,
Rishta Vafa Ka Aur Hi Rangon Mein Dhal Gaya,
Ashqon Ki Chandni Se Thi Behatar Wo Dhoop Hi,
Chalo Usi Mod Se Shuroo Karen Phir Se Zindagi.

शायद यह वक़्त हम से कोई चाल चल गया,
रिश्ता वफ़ा का और ही रंगों में ढ़ल गया,
अश्क़ों की चाँदनी से थी बेहतर वो धूप ही,
चलो उसी मोड़ से शुरू करें फिर से जिंदगी।

Waqt Shayari - Shayad Yeh Waqt

Waqt Badal Jaata Hai Insaan Badal Jaate Hain,
Waqt Waqt Pe Rishton Ke Andaaz Badal Jate Hain,
Kabhi Apna To Kabhi Kar Diya Paraaya,
Waqt Ki Tarah Zindagi Ke Ehsaas Badal Jaate Hain.

वक़्त बदल जाता है इंसान बदल जाते हैं,
वक़्त वक़्त पे रिश्तों के अंदाज़ बदल जाते हैं,
कभी अपना तो कभी कर दिया पराया,
वक़्त की तरह ज़िंदगी के एहसास बदल जाते हैं।

Chahat Rakhne Waale Manzilon Ko Door Se Takte Nahin,
Bada Kar Kadam Thaam Liya Karte Hain,
Jinke Haathon Mein Ho Waqt Ki Kalam,
Apni Kismat Vo Khud Hi Likha Karte Hain.

चाहत रखने वाले मंज़िलों को दूर से ताकते नहीं,
बड़ा कर कदम थाम लिया करते हैं,
जिनके हाथों में हो वक़्त की कलम,
अपनी किस्मत वो खुद ही लिखा करते हैं।

Na Jane Kyun Waqt Iss Tareh Gujar Jata Hai,
Jo Waqt Bura Hai Wo Palat Ke Samne Aata Hai,
Aur Jis Waqt Ko Hum Dil Se Pana Chahte Hai,
Wo To Bas Ek Lamha Bankar Beet Jata Hai.

न जाने क्यों वक़्त इस तरह गुजर जाता है,
जो वक़्त बुरा है वो पलट के सामने आता है,
और जिस वक़्त को हम दिल से पाना चाहते हैं,
वो तो बस एक लम्हा बनकर बीत जाता है।

Advertisement

Waqt Shayari, Ai Bure Waqt

Ai Bure Waqt, Jara Adab Se Pesh Aa,
Waqt Nahi Lagta Waqt Badalne Mein.

ऐ बुरे वक्त, जरा अदब से पेश आ,
वक्त नही लगता वक्त बदलने में।

#Waqt Bahut Kuchh, Chheen Leta Hai,
Khair Meri To Sirf Muskuraahat Thi.

#वक़्त बहुत कुछ, छीन लेता है,
खैर मेरी तो सिर्फ़ मुस्कुराहट थी।

Read more →

Advertisement

Mitti Me Mil Jaate Hain

Jamin Par Mera Naam Likhte Aur Mitate Hain,
Waqt Unka To Gujar Jata Hai, Mitti Me Hum Mil Jaate Hain.

ज़मीन पर मेरा नाम वो लिखते और मिटाते हैं,
वक्त उनका तो गुजर जाता है, मिट्टी में हम मिल जाते हैं।

Waqt Ajeeb Cheez Hai Waqt Ke Sath Dhal Gaye,
Tum Bhi Bahut Kareeb The Ab Bahut Badal Gaye.

वक़्त अजीब चीज़ है वक़्त के साथ ढल गए,
तुम भी बहुत करीब थे अब बहुत बदल गए।

Kehte Hain Umr-e-Rafta Kabhi LautTi Nahi,
Ja Maiqade Se Meri Jawani Uthha Ke La.

कहते हैं उम्र-ए-रफ्ता कभी लौटती नहीं,
जा मैकदे से मेरी जवानी उठा के ला।

Ye Mohabbat Ka Fasana Bhi Badal Jayega,
Waqt Ke Saath Zamana Bhi Badal Jayega.

ये मोहब्बत का फ़साना भी बदल जायेगा,
वक़्त के साथ जमाना भी बदल जायेगा।

Advertisement

Waqt Bahut Kam

Waqt Bahut Kam Hai Sath Bitane Me,
Ise Na Gawana Kabhi Ruthne Manane Me,
Rista To Hamne Bandh Hi Liya Hai Aap Se,
Bas Thoda Sa Sath De Dena Ise Nibhane Me.

वक्त बहुत कम है साथ बिताने में,
इसे न गवांना कभी रूठने मनाने में,
रिस्ता तो हमने बांध ही लिया है आप से,
बस थोड़ा सा साथ दे देना इसे निभाने में।

Waqt Kehta Hai Ke Phir Na Aaunga,
Teri Aankhon Ko Ab Na Rulaunga,
Agar Jeena Hai To Iss Pal Ko Jeele,
Shayad Main Kal Tak Na Ruk Paunga.

वक़्त कहता है के फिर न आऊंगा,
तेरी आँखों को अब न रुलाऊंगा,
अगर जीना है तो इस पल को जीले,
शायद मैं कल तक न रुक पाउँगा।

Ye Waqt Noor Ko Benoor Kar Deta Hai,
Chhote se Zakhm Ko Nasoor Kar Deta Hai,
Kaun Chahta Hai Apno Se Dur Rehna,
Par Waqt Sabko Majboor Kar Deta Hai.

ये वक़्त नूर को बेनूर कर देता है,
छोटे से जख्म को नासूर कर देता है,
कौन चाहता है अपनों से दूर रहना,
पर वक़्त सबको मजबूर कर देता है।

Advertisement

Waqt Ki Yaari

Waqt Ki Yaari To
Har Koi Kar Leta Hai,
Maza To Tab Hai Jab
Waqt Badle Aur Yaar Na Badle.

वक्त की यारी तो
हर कोई कर लेता है,
मजा तो तब है जब
वक़्त बदले और यार न बदले।

Kuchh Iss Tarah Se Sauda Kiya
Mujhse Mere Waqt Ne,
Tazurbe Dekar Wo Mujh Se
Meri Nadanian Le Gaya.

कुछ इस तरह से सौदा किया
मुझसे मेरे वक़्त ने,
तजुर्बे देकर वो मुझ से
मेरी नादानियां ले गया।