Advertisement

Wo Sharabi Aankhen

Mere Honthhon Ne Har Baat Chhupa Rakhi Thi,
Aankhon Ko Ye Hunar Kabhi Aaaya Hi Nahin.

मेरे होठों ने हर बात छुपा कर रखी थी,
आँखों को ये हुनर कभी आया ही नहीं।

Mujhse Kahti Thi Wo Sharabi Aankhen,
Aap Wo Jahar Mat Piya Kijiye.

मुझ से कहती थी वो शराबी आँखे,
आप वो जहर मत पिया कीजिये।

Naqab To Unka Sir Se Paao Tak Tha,
Par Aankhen Bata Rahi Thi Ki Mohabbat Ka Shaukeen Wo Bhi Thi.

नकाब तो उनका सिर से लेकर पाँव तक था,
मगर आँखें बता रही थी कि मोहब्बत की शौकीन वो भी थी।

Advertisement

Khulte Hain Mujh Pe Raaz Kayi Iss Jahan Ke,
UsKi Haseen Aankhon Mein Jab Jhankta Hoon Main.

खुलते हैं मुझ पे राज कई इस जहान के,
उसकी हसीन आँखों में जब झाँकता हूँ मैं

Sirf Lafzo Ko Na Suno, Kabhi Aankhen Bhi Padho,
Kuchh Sawaal Bade Khuddaar Hua Karte Hain.

सिर्फ लफ़्ज़ों को न सुनो, कभी आँखें भी पढो,
कुछ सवाल बड़े खुद्दार हुआ करते है।

Ye Soch Ke Nazren Milata Hi Nahin,
Ki Aankhen Kaheen Zajbaat Ka Izhaar Na Kar Den.

ये सोच के नज़रें मिलाता ही नहीं,
कि आँखें कहीं ज़ज्बात का इज़हार न कर दें।

Advertisement

Comments