Advertisement

Safar Tanha

Zindagi Yun Huyi Basar Tanha,
Kafila Sath Aur Safar Tanha,
Apne Saaye Se Chaunk Jate Hain,
Umr Gujari Hai Iss Kadar Tanha.

जिंदगी यूँ हुई बसर तन्हा,
काफिला साथ और सफ़र तन्हा,
अपने साए से चोंक जाते हैं,
उम्र गुजारी है इस कदर तन्हा।

Shaam e Firaaq, Zakhm e Jigar Aur Ye Ghazal,
Yaadein Tumhari, Deeda e Tar Aur Ye Ghazal,
Jee Chahne Laga Hai, Karun Fir Se Tere Naam,
Ek Shaam Aur Ek Sher Aur Ye Ghazal.

Advertisement

शाम ए फिराक, ज़ख्म ए जिगर और ये गजल,
यादें तुम्हरी दीदा ए तार और ये गजल,
जी चाहने लगा है, करूँ फिर से तेरे नाम,
एक शाम और एक शेर और एक ये गजल।

Utna Haseen Fir Koyi Lamha Nahi Mila,
Tere Jaane Ke Baad Koyi Bhi Tujh Sa Nahi Mila,
Socha Karun Main Ek Din Khud Se Hi Guftgu,
Lekin Kabhi Main Khud Ko Tanha Nahi Mila.

उतना हसीन फिर कोई लम्हा नहीं मिला,
तेरे जाने के बाद कोई भी तुझ सा नहीं मिला,
सोचा करूं मैं एक दिन खुद से ही गुफ्तगुं,
लेकिन कभी में खुद को तन्हा नहीं मिला। 

Advertisement

Comments