Advertisement

Kuch Apne Aise Nikle

Kuch Gair Aise Mile, Jo Mujhe Apna Bana Gaye,
Kuch Apne Aise Nikle, Jo Gair Ka Matlab Bata Gaye.

कुछ गैर ऐसे मिले, जो मुझे अपना बना गए,
कुछ अपने ऐसे निकले, जो गैर का मतलब बता गए।

Kuhh Apne Aise Nikle - Apne Shayari

Zindagi Me Yeh Hunar Bhi Aazmaana Chahiye,
Apno Se Agar Ho Jung To Haar Jaana Chahiye.

ज़िन्दगी में यह हुनर भी आजमाना चाहिए,
अपनों से अगर हो जंग तो हार जाना चाहिए।

Ye Kah Kar Mere Dushman Muje Chorh Gaye,
Ke Tere Apne Hi Kafi Hain Tujhe Rulane Ke Liye.

ये कह कर मेरे दुश्मन मुझे छोड़ गए,
कि तेरे अपने ही काफी हैं तुझे रुलाने के लिए।

Advertisement

Lakdi Ke Makano Me Chiraago Ko Na Rakhiye,
Apne Bhi Yehan Aag Bujhaane Nahi Aate.

लकड़ी के मकानों में चिरागों को न रखिये,
अपने भी यहाँ आग बुझाने नहीं आते।

Kuch Log To Isliye Apne Bane Hain Abhi,
Ke Meri Barbadi Ka Deedar Najdeek Se Ho.

कुछ लोग तो इसलिये अपने बने हैं अभी,
कि मेरी बर्बादी का दीदार नजदीक से हो।

So Ja Aye Dil Ki Ab Bahut Dhundh Hai Shahar Mein Tere,
Apne Dikhte Nahi Aur Jo Dikhte Hain Woh Apne Nahi.

सो जा ऐ दिल कि अब बहुत धुन्ध है शहर में तेरे,
अपने दिखते नहीं और जो दिखते हैं वो अपने नहीं।

Advertisement

Comments