Bachpan Shayari

Advertisement

Bachpan Bhi Kamal Ka Tha

Kamaal Ka Bachpan Hindi shayari

Bachpan Bhi Kamal Ka Tha,
Khelte Khelte Chahen Chhat Par Soyen
Ya Zameen Par,
Aankh Bistar Par Hi Khulti Thi.

बचपन भी कमाल का था,
खेलते खेलते चाहें छत पर सोयें
या ज़मीन पर,
आँख बिस्तर पर ही खुलती थी।

Kitne Khoobsurat Hua Karte The
Bachpan Ke Wo Din,
Sirf Do Ungliyan Judne Se
Dosti Fir Se Suru Ho Jaya Karti Thi.

कितने खुबसूरत हुआ करते थे
बचपन के वो दिन,
सिर्फ दो उंगलिया जुड़ने से
दोस्ती फिर से शुरु हो जाया करती थी।

Bachpan Mein Jab Chaha Hans Lete The,
Jahaan Chaha Ro Lete The
Ab Muskaan Ko Tameez Chaahiye,
Ashkon Ko Tanhai.

बचपन में जब चाहा #हँस लेते थे,
जहाँ चाहा रो लेते थे
अब मुस्कान को तमीज़ चाहिए,
अश्कों को #तनहाई।

Advertisement

Bachpan Waali Barish

Kisne Kaha, Nahin Aati Wo Bachpan Waali Barish,
Tum Bhool Gaye Ho Shayad Ab Naav Banani Kagaz Ki.

किसने कहा, नहीं आती वो बचपन वाली बारिश,
तुम भूल गए हो शायद अब नाव बनानी कागज़ की।

Kagaz Ki Naav Bachpan Shayari in Hindi

Jhooth Bolte The Phir Bhi Kitne Sachche The Hum,
Yeh Unn Dino Ki Baat Hai Jab Bachche The Hum.

झूठ बोलते थे फिर भी कितने सच्चे थे हम ,
यह उन दिनों की बात है जब बच्चे थे हम ।

Zindagi Phir Na Muskurai Kabhi Bachpan Ki Tarah,
Maine Mitti Bhi Jama Ki Khilone Bhi Lekar Dekhe.

ज़िन्दगी फिर न मुस्कराई कभी बचपन की तरह,
मैंने मिटटी भी जमा की खिलौने भी लेकर देखे।

Koyi Mujhko Lauta De Woh Bachpan Ka Saawan,
Woh Kaagaj Ki Kashti, Wo Barish Ka Paani.

कोई मुझको लौटा दे वो बचपन का सावन,
वो कागज की कश्ती, वो वारिश का पानी।

Ab Tak Humari Umr Ka Bachpan Nahi Rah Gaya,
Ghar Se Chale The Jeb Ke Paise Gira Diye.

अब तक हमारी उम्र का बचपन नहीं गया,
घर से चले थे जेब के पैसे गिरा दिए।

Wo Bachpan Ke Bhi Kya Din The Mere Na Fikr Koi Na Dard Koi,
Bus Khelo, Khao, So Jao Bus Iske Siwa Kuch Yaad Nahi.

वो बचपन के भी क्या दिन थे मेरे न फ़िक्र कोई न दर्द कोई,
बस खेलो, खाओ, सो जाओ बस इसके सिवा कुछ याद नहीं।

Advertisement

Bachpan Ki Ameeri

Wo Bachpan Ki Ameeri Na Jaane Kahan Kho Gayi,
Jab Paani Me Humare Bhi Jahaz Chalte The.

वो बचपन की अमीरी न जाने कहां खो गई,
जब पानी में हमारे भी जहाज चलते थे।

Shayari Bachpan Ki Ameeri

Bachpan Me To Shaamein Bhi Hua Karti Thi,
Ab To Bas Subah Ke Baad Raat Ho Jaati Hai.

बचपन में तो शामें भी हुआ करती थी,
अब तो बस सुबह के बाद रात हो जाती है।

Ajeeb Saudagar Hai Ye Waqt Bhi,
Jabani Ka Lalach De Ke Bachpan Le Gaya.

अजीब सौदागर है ये वक़्त भी,
जवानी का लालच दे के बचपन ले गया।

Chalo Aaj Bachpan Ka Koi Khel Khelen,
Badi Muddat Hui Bebajh Hans Kar Nahin Dekha.

चलो आज बचपन का कोई खेल खेलें,
बड़ी मुद्दत हुई बेवजह हंसकर नहीं देखा।

Advertisement

Wo Nadaan Bachpan

Kagaz Ki Kashti Thi Pani Ka Kinara Tha,
Khelne Ki Masti Thi Dil Ye Awara Tha,
Kaha Aa Gaye Samajhdari Ke Daldal Mein,
Wo Nadaan Bachpan Hi Pyara Tha.

कागज की कश्ती थी पानी का किनारा था,
खेलने कि मस्ती थी दिल ये आवारा था,
कहां आ गए समझदारी के दलदल में,
वो नादान बचपन ही प्यारा था।

Naadan Bachpan Hindi Shayari

Bachpan Ke Din Kitne Achchhe Hote The,
Tab Dil Nahi Sirf Khilone Tuta Karte The,
Ab To Ek Aansu Bhi Bardaasht Nahi Hota,
Aur Bachpan Me Jee Bharkar Roya Karte The.

बचपन के दिन कितने अच्छे होते थे,
तब दिल नहीं सिर्फ खिलौने टूटा करते थे,
अब तो एक आशु भी बरदास्त नहीं होता,
और बचपन में जी भरकर रोया करते थे। 

Advertisement