Advertisement

Wo Muskurate Hain

Kuch Is Tarah Se Wo Muskurate Hain,
Ki Paresaan Log Unhe Dekh Kar Khush Ho Jate Hain,
Unki Baton Ka Aji Kya Kahiye,
Alfaaz Phool Bankar Hothon Se Nikal Aate Hain.

कुछ इस तरह से वो मुस्कुराते हैं,
कि परेशान लोग उन्हें देख कर खुश हो जाते हैं,
उनकी बातों का अजी क्या कहिये,
अल्फ़ाज़ फूल बनकर होंठों से निकल आते हैं।

Tareef Shayari - Phool BanKar

Nigaahe-Yaar Pe Palko Ki Lagaam Na Ho,
Badan Me Dur Talak Zindagi Ka Naam Na Ho,
Wo Be Naqaab Firti Hai Gali Koocho Me,
To Kaise Shahar Ke Logon Me Qatle Aam Na Ho.

निगाह-यार पे पलकों की लगाम न हो,
बदन में दूर तलक ज़िन्दगी का नाम न हो,
वो बेनकाब फिरती है गली कूचों में,
तो कैसे शहर के लोगो में कतले आम न हो।

Advertisement

Tum Haseen Ho Ke Gulab Jaisi Ho,
Bahut Nazuk Ho Khawab Jaisi Ho,
Hothon Se Lagakar Pee Jaun Tumhe
Sir Se Paao Tak Sharab Jaisi Ho.

तुम हशीन हो के गुलाब जैसी हो,
बहुत नाजुक हो ख्वाब जैसी हो,
होठों से लगाकर पी जाऊं तुम्हे,
सर से पाँव तक शराब जैसी हो।

Aapke Deedar Ko Nikal Aaye Hain Taare,
Aapki Khushboo Se Chha Gayi Hai Baharen,
Aapke Saath Dikhte Hain Kuch Aise Nazare,
Ki Chhup-Chhup Ke Chand Bhi Aap Hi Ko Nihare.

आपके दीदार को निकल आये हैं तारे,
आपकी खुसबू से छा गयी हैं बहारें,
आपके साथ दिखते हैं कुछ ऐसे नज़ारे,
कि छुप-छुप के चाँद भी आप ही को निहारे।

Advertisement

Comments