Deedar Shayari

Advertisement

Soch Soch Kar Umr

Soch Soch Kar Umr Kyun Kam Karun,
Wo Nahi Mila To Kyun Gam Karun,
Na Hua Na Sahi Deedar Unka,
Kis Liye Bhala Aankhein Nam Karun.

सोच सोच कर उम्र क्यों कम करूँ,
वो नहीं मिला तो क्यों ग़म करूँ,
न हुआ न सही दीदार उनका,
किस लिए भला आँखें नम करूँ।

Soch Soch Kar - Deedar Shayari

Wo Inkaar Karte Hain To Ikraar Ke Liye,
Nafrat Bhi Karte Hain To Pyar Ke Liye,
Ulti Chaal Chalte Hain Ye Ishq Karne Wale,
Aankhein Band Karte Hain Deedar Ke Liye.

वो इंकार करते हैं तो इकरार के लिए,
नफ़रत भी करते हैं तो प्यार के लिए,
उलटी चाल चलते हैं ये इश्क करने वाले,
आंखें बंद करते हैं दीदार के लिए।

Advertisement

Deedar Ki Khwahish

Aaj Dil Ne Tere Deedar Ki Khwahish Rakhi Hai,
Mile Agar Fursat To Khwabon Me Aa Jana.

आज दिल ने तेरे दीदार की ख्वाइश रखी है,
मिले अगर फुरसत तो ख्वाबों में आ जाना।

Jaroori To Nahi Hai Ki Tujhe Aankhon Se Hi Dekhein,
Teri Yaad Ka Aana Bhi Tere Deedar Se Kam Nahi.

जरुरी तो नहीं है की तुझे आँखों से ही देखें,
तेरी याद का आना भी तेरे दीदार से कम नहीं।

Deedar Shayari Aankhon Se Hi Dekhein

Deedar Ki Talab Hai To Nazrein Jamaaye Rakh,
Kyuki Naqaab Ho Ya Naseeb Sarakta Jaroor Hai.

दीदार की तलब है तो नज़रें जमाये रख,
क्योंकि नकाब हो या नसीब सरकता जरुर है।

Talab Aisi Ki Basa Lein Apni Saanso Me Tujhe Hum,
Aur Kismat Aisi Ki Deedar Ke Bhi Mohataz Hain Hum.

तलब ऐसी की बसा लें अपनी सांसों में तुझे हम,
और किस्मत ऐसी कि तेरे दीदार के भी मोहताज़ हैं हम।

Aankhon Me Aankhein Daalkar Tumhara Deedar,
Ye Kashish Bayaan Karna Mere Bas Ki Baat Nahi.

आँखों में आंखे डाल कर तुम्हारा दीदार,
ये कशिश बयां करना मेरे बस की बात नहीं।

 

Advertisement