Dushmani Shayari

Advertisement

Wo Dusmani Se Dekhte Hain

Dekha To Wo Shakhs Bhi Mere Dushmano Mein Tha,
Naam Jiska Shamil Meri Dhadhkano Mein Tha.

देखा तो वो शख्स भी मेरे दुश्मनो में था,
नाम जिसका शामिल मेरी धड़कनों में था।

Wo Dusmani Se Dekhte Hain Dekhte To Hain,
Main Shaad Hun Ki Hun To Kisi Ki Nigaah Me.

वो दुश्मनी से देखते हैं देखते तो हैं,
मैं शाद हूँ कि हूँ तो किसी की निगाह में।

Karein Hum Dushmani Kis Se, Koyi Dushman Nahi Apna,
Mohabbat Ne Nahi Chhodi, Jagah Dil Me Adaawat Ki.

करें हम दुश्मनी किस से, कोई दुश्मन नहीं अपना,
मोहब्बत ने नहीं छोड़ी, जगह दिल में अदावत की।

Bina Maqsad Bahut Mushkil Hai Jeena,
Khuda Aabaad Rakhna Dushmano Ko Mere.

बिना मकसद बहुत मुश्किल है जीना,
खुदा आबाद रखना दुश्मनो को मेरे।

Dushmani Jam Ke Karo Par Itni Gunjaish Rahe,
Kal Jo Hum Dost Ban Jayaen To Sharminda Na Ho.

दुश्मनी जम के करो पर इतनी गुजारिश रहे,
कल जो हम दोस्त बन जायें तो शर्मिंदा न हों।

Meri Narajgi Par Hak Mere Ahbaab Ka Hai Bas,
Bhala Dushman Se Bhi Koi Kabhi Naraj Hota Hai.

मेरी नाराजगी पर हक़ मेरे अहबाब का है बस,
भला दुश्मन से भी कोई कभी नाराज होता है।

Advertisement

Dushman Hazaar The

Fursat Mile Jab Bhi To Ranjishen Bhula Dena,
Kaun Jaane Saanso Ki Mohlatein Kahan Tak Hain.

फुरसत मिले जब भी तो रंजिसें भुला देना,
कौन जाने साँसों की मोहलतें कहाँ तक हैं।

Jab Jaan Pyaari Thi Tab Dushman Hazaar The,
Ab Marne Ka Shauk Hai To Qatil Nahi Milte.

जब जान प्यारी थी तब दुश्मन हज़ार थे,
अब मरने का शौक है तो कातिल नहीं मिलते।

Haath Me Khanjar Hi Nahi Aankho Me Paani Bhi Chahiye.
Humein Dushman Bhi Thoda Khandaani Chahiye.

हाथ में खंजर ही नहीं आँखों में पानी भी चाहिए,
हमें दुश्मन भी थोड़ा खानदानी चाहिए।

Dushmani Ka Safar Ek Kadam Do Kadam,
Tum Bhi Thak Jaoge Hum Bhi Thak Jayenge.

दुश्मनी का सफ़र एक कदम दो कदम,
तुम भी थक जाओगे हम भी थक जायेंगे।

Mere Rone Se Nikalte Hain Aansu Jo Khoon Ke,
Mere Dushman Talabgar Hain Unko Bhi Peene Ke.

मेरे रोने से निकलते हैं आँसू जो खून के,
मेरे दुश्मन तलबगार हैं उनको भी पीने के। 

Wo Jo Ban Ke Dusman Mujhe Jeetne Ko Nikle The
Kar Lete Agar Mohabbat Main Khud Hi Har Jata.

वो जो बन के दुश्मन मुझे जीतने को निकले थे,
कर लेते अगर मोहब्बत मैं खुद ही हार जाता।

ilaahi Kyun Nahi Uthhti Qayamat Majra Kya Hai,
Humare Samne Pahlu Me Wo Dushman Ban Ke Baithe Hain.

इलाही क्यों नहीं उठती कयामत माजरा क्या है,
हमारे सामने पहलू में वो दुश्मन बन के बैठे हैं।

Wo Dushmani Se Dekhte Hain Dekhte To Hain,
Main Shaad Hun Ke Hun To Kisi Ki Nigaah Me.

वो दुश्मनी से देखते हैं देखते तो हैं,
मैं शाद हूँ के हूँ तो किसी की निगाह में।

Advertisement