Gareebi Shayari

Advertisement

Gareebon Ne Bekashi Bechi

Kabhi Aansu To Kabhi Khushi Bechi,
Hum Gareebon Ne Bekashi Bechi,
Chand Saansein Khareedne Ke Liye
Roj Thodi Si Zindagi Bechi.

कभी आँसू तो कभी खुशी बेचीं,
हम गरीबों ने बेकशी बेचीं,
चंद सांसे खरीदने के लिए,
रोज़ थोड़ी सी जिंदगी बेचीं।

Marham Laga Sako To
Kisi Gareeb Ke Zakhmo Par Laga Dena,
Hakeem Bahut Hain Bajaar Me
Ameero Ke Ilaaj Ke Khatir.

मरहम लगा सको तो
किसी गरीब के ज़ख्मो पर लगा देना,
हकीम बहुत हैं बाज़ार में
अमीरों के इलाज़ के खातिर।

Kaise Banega Ameer Wo
Hisaab Ka Kachha Bhikhari,
Ek Sikke Ke Badle Jo
Besh-Keemti Duaein Deta Hai.

कैसे बनेगा अमीर वो
हिसाब का कच्चा भिखारी,
एक सिक्के के बदले जो
बीस-कीमती दुआएं देता है।

Advertisement

Gareeb Ke Dil Mein

Hindi Gareebi Shayari - Gareeb Ka Dil

Yun Na Jhaanka Karo Kisi Gareeb Ke Dil Mein,
Ke Wahan Hasratein BeLibaas Raha Karti Hain.

यूँ न झाँका करो किसी गरीब के दिल में,
के वहाँ हसरतें वेलिबास रहा करती हैं।

Advertisement
123Next ›