Nafrat Shayari

Advertisement

Nafrat To Gawara Hai

Agar Hamari Ulfaton Se Tang Aa Jao To Bata Dena,
Hume Nafrat To Gawara Hai Magar Dikhawe Ki Mohabbt Nahin.

अगर हमारी उल्फतों से तंग आ जाओ तो बता देना,
हमें नफरत तो गवारा है मगर दिखावे की मोहब्बत नहीं।

Nafrat Mat Karna Mujhse Mujhe Achha Na Lagega,
Bas Pyar Se Kah Dena Teri Ab Jaroorat Nahi Hai.

नफरत मत करना मुझसे मुझे अच्छा ना लगेगा,
बस प्यार से कह देना तेरी अब जरुरत नहीं है।

Hai Khabar Achhi Ke Aaja Munh Tera Meethha Karein,
Nafratein Teri Huyi Hain Ba-Khushi Dil Ko Qabool.

है खबर अच्छी के आजा मुँह तेरा मीठा करें,
नफरतें तेरी हुई हैं बा-खुशी दिल को कबूल।

Jarurat Hai Mujhe Naye Nafrat Karne Walon Ki,
Purane To Ab Mujhe Chahne Lage Hain.

जरुरत है मुझे नए नफरत करने वालों की,
पुराने तो अब मुझे चाहने लगे हैं।

Mohabbat Karne Se Fursat Nahi Mili Yaaro,
Varna Hum Karke Batate Ke Nafrat Kisko Kehte Hain.

मोहब्बत करने से फुरसत नहीं मिली यारो,
वरना हम करके बताते के नफरत किसको कहते हैं।

Advertisement

Nafrat Karoge To Khud

Humein Barbaad Karna Hai To Humse Pyar Karo,
Nafrat Karoge To Khud Barbaad Ho Jaoge.

हमें बर्बाद करना है तो हमसे प्यार करो,
नफरत करोगे तो खुद बर्बाद हो जाओगे।

Nafrat Shayari - Nafrat Karoge To Khud

Advertisement

Nafrat Ki Ajab Raah

Mujh Se Nafrat Ki Ajab Raah Nikali Usne,
Hasta Hua Mera Dil Kar Diya Khali Usne,
Mere Ghar Ki Riwayat Se Wo Khoob Tha Waqif,
Judai Maang Li Ban Ke Sawaali Usne.

मुझ से नफरत की अजब राह निकाली उसने,
हसता हुआ मेरा दिल कर दिया खाली उसने,
मेरे घर की रिवायत से वो खूब था वाकिफ,
जुदाई मांग ली बन के सवाली उसने।

Dil Par Na Mere Yun Waar Kijiye,
Chodo Yeh Nafrat Thoda Pyar Kijiye,
Tadapte Hain Jis Kadar Tere Pyar Mein Hum,
Kabhi Khud Ko Bhi Us Kadar Bekraar Kijiye.

दिल पर न मेरे यूँ वार कीजिये,
छोहो ये नफरत थोड़ा प्यार कीजिये,
तड़पते हैं जिस कदर तेरे प्यार में हम,
कभी खुद को भी उस कदर बेकरार कीजिये।

Kabhi Usne Bhi Hume Chahat Ka Paigam Likha Tha,
Sab Kuchh Usne Apna Humare Naam Likha Tha,
Suna Hai Aaj Use Humare Zikr Se Bhi Nafrat Hai,
Jisne Kabhi Apne Dil Par Humara Naam Likha Tha.

कभी उसने भी हमे चाहत का पैगाम लिखा था,
सब कुछ उसने अपना हमारे नाम लिखा था,
सुना है आज उसे हमारे जिक्र से भी नफरत है,
जिसने कभी अपने दिल पर हमारा नाम लिखा था।

Ek Nafrat Hi Hai Jise Duniya
Chand Lamho Mein Jaan Leti Hai,
Varna Chahat Ka Yakeen Dilane Mein To
Zindagi Beet Jati Hai...

एक नफरत ही है जिसे दुनिया
चंद लम्हों मैं जान लेती है,
वरना चाहत का यकीन दिलाने में तो
ज़िन्दगी बीत जाती है...

Advertisement

Tujh Par Kabhi Nikhaar

Tu Bhi Kisi Ka Pyar Na Paaye Khuda Kare,
Tujhko Tera Naseeb Rulaaye Khuda Kare,

Raaton Mein Tujhko Neend Na Aaye Khuda Kare,
Tu Dar-Ba-Dar Ki Thhokrein Khaaye Khuda Kare,

Aaye Bahar Tere Gulistaan Me Bar Bar,
Tujh Par Kabhi Nikhaar Na Aaye Khuda Kare.

Advertisement