Advertisement

Dosti Status, Dosti Ki Had

Rahta Hoon Kiraye Ke Makaan Mein
Roz Saanson Ko Bechkar Kiraya Chukaata Hoon,
Meri Aukaat Hai Bas Mitti Jitani
Baat Main Mahal Minaron Ki Kar Jaata Hoon,
Dafan Ho Jayega Ye Mera Shareer Ik Din
Phir Bhi Iski Khoobsoorati Par Itraata Hoon,
Khud Ke Sahaare Main Kabrastaan
Tak Bhi Na Ja Sakoonga
Isiliye Jamane Mein Dost Banata Hoon.

रहता हूँ किराये के मकान में
रोज़ सांसों को बेचकर किराया चूकाता हूँ,
मेरी औकात है बस मिट्टी जितनी
बात मैं महल मिनारों की कर जाता हूँ,
दफन हो जायेगा ये मेरा शरीर इक दिन
फिर भी इसकी खूबसूरती पर इतराता हूँ,
खुद के सहारे मैं कब्रस्तान
तक भी ना जा सकूंगा
इसीलिए जमाने में दोस्त बनाता हूँ।

Sooraj Ki Had Saanjh Tak Hai,
Chand Ki Had Raat Tak Hai,
Dosti Me Din Raat Nahi Dekhte,
Kyuki Dosti Ki Had Akhiri Saans Tak Hai.

Advertisement

सूरज की हद सांझ तक है,
चाँद की हद रात तक है,
दोस्ती में दिन-रात नहीं देखते यारो,
क्योंकि दोस्ती की हद आखरी सांस तक है।

Bina Dekhe Tujhe Teri Tasveer Bana Sakta Hun Main,
Bina Mile Tujhse Tera Haal Bata Sakta Hun Main,
Hai Meri Dosti Me Dam Itna,
Ki Teri Aankhon Ke Aansu Apni Aankhon Se Baha Sakta Hun.

बिना देखे तुझे तेरी तस्वीर बना सकता हूँ मैं,
बिना मिले तुझसे तेरा हाल बता सकता हूँ मैं,
है मेरी दोस्ती में दम इतना,
कि तेरी आँखों के आँसू आपनी आँखों से बहा सकता हूँ।

Advertisement

Comments