Advertisement

Ilzaam Lagane Par Na Ja

Meri Najron Ki Taraf Dekh Zamane Par Na Ja,
Ishq Masoom Hai Ilzaam Lagane Par Na Ja.

मेरी नजरों की तरफ देख जमानें पर न जा,
इश्क मासूम है इल्जाम लगाने पर न जा।

Ilzaam Lagane Par Na Ja - ilzaam Shayari

Chirag Jalane Ka Saleeka Seekho Sahab,
Hawaon Pe Ilzaam Lagane Se Kya Hoga.

चिराग जलाने का सलीका सीखो साहब,
हवाओं पे इल्ज़ाम लगाने से क्या होगा।

Bas Yehi Soch Kar Koyi Safai Nahi Di Humne,
Ki ilzaam Jhuthe Hi Sahi Par Lagaye To Tumne Hain.

बस यही सोच कर कोई सफाई नहीं दी हमने,
कि इल्ज़ाम झूठे ही सही पर लगाये तो तुमने हैं ।

Advertisement

Duniya Ko Hakiqat Ka Meri Pata Kuchh Bhi Nahi,
ilzaam Hajaro Hain Aur Khata Kuchh Bhi Nahi.

दुनिया को हकीकत का मेरी पता कुछ भी नहीं,
इल्जाम हजारो हैं और खता कुछ भी नहीं।

BeWafai Maine Nahi Ki Hai Mujhe ilzaam Mat Dena,
Mera Subut Mere Ashq Hain Mera Gawah Mera Dard Hai.

बेवफाई मैंने नहीं की है मुझे इल्ज़ाम मत देना,
मेरा सुबूत मेरे अश्क हैं मेरा गवाह मेरा  दर्द है।

Koi Ilzaam Rah Gaya Ho To Wo Bhi De Do,
Pahle Bhi Hum Bure The, Ab Thode Aur Sahi.

कोई इल्जाम रह गया हो तो वो भी दे दो,
पहले भी हम बुरे थे, अब थोड़े और सही।

Advertisement

Comments