Ameeri Shayari

Advertisement

Hame Ameer Hone

Tum Kisi Aur Se Ishq Kar Lo,
Hame Ameer Hone Me jara Waqt Lagega.

तुम किसी और से इश्क कर लो,
हमें अमीर होने में जरा वक़्त लगेगा।

Hame Ameer Hone - Ameeri Shayari

Itne Ameer To Nahi Ki Sab Kuchh Khareed Le,
Par Itne Gareeb Bhi Nahi Jo Khud Bik Jaayen.

इतने अमीर तो नहीं कि सब कुछ खरीद लें,
पर इतने गरीब भी नहीं जो खुद बिक जाएँ।

Tumse Mila Tha Pyar Kuchh Achhe Naseeb The,
Hum Unn Dino Ameer The Jab Tum Gareeb The.

तुमसे मिला था प्यार कुछ अच्छे नसीब थे,
हम उन दिनों अमीर थे जब तुम गरीब थे।

Main Khul ke Has Raha Hun Fakir Hote Hue Bhi,
Wo Muskra Bhi Na Paya Ameer Hote Hue Bhi.

मैं खुल के हँस तो रहा हूँ फ़क़ीर होते हुए,
वो मुस्कुरा भी न पाया अमीर होते हुये।

Sari Galti Hum Apni Kismat Ki Kaise Nikal Dein
Kuchh Sath Humara Teri Ameeri Ne Bhi Toda Hai.

सारी गलती हम अपनी किस्मत की कैसे निकाल दे,
कुछ साथ हमारा तेरी अमीरी ने भी तोड़ा है। 

Advertisement

Ameeri Ka Shajar

Jin Ke Aangan Me
Ameeri Ka Shajar Lagta Hai,
Unka Har Aib Bhi
Zamane Ko Hunar Lagta Hai.

जिन के आंगन में
अमीरी का शजर लगता है,
उनका हर ऐब भी
ज़माने को हुनर लगता है।

Chhodo Ye Ameeri Gareebi,
Dil Ki Duniya Mein Sab Ameer Hote Hain,
Jo Sirf Le Sab Se Aur Na De Sake Kisi Ko,
Pyar Mein Bas Bahi Gareeb Hote Hain.

छोड़ो ये अमीरी गरीबी,
दिल की दुनिया में सब अमीर होते हैं,
जो सिर्फ ले सब से और न दे सके किसी को,
प्यार में बस वही गरीब होते हैं।

Advertisement