Advertisement

Alfaaz Nahin Milte

Meri Shayari Ka Asar Un Par Ho Bhi To Kaise Ho?
Ke Main Ehsaas Likhta Hun Wo Alfaz Parhte Hain.

मेरी शायरी का असर उन पर हो भी तो कैसे हो ?
के मैं अहसास लिखता हूँ वो अल्फाज़ पड़ते हैं।

Alfaaz Parhte Hain

Shayad Ishq Ab Utar Raha Hai Sar Se,
Mujhe Alfaaz Nahin Milte Shayari Ke Liye.

शायद इश्क अब उतर रहा है सर से,
मुझे अलफ़ाज़ नहीं मिलते शायरी के लिए।

Simat Gayi Meri Ghazal Bhi Chand Alfaazon Me,
Jab Usne Kaha Mohabbat To Hai Par Tumse Nahi.

Advertisement

सिमट गई मेरी गजल भी चंद अलफ़ाजो में,
जब उसने कहा मोहब्बत तो है पर तुमसे नहीं।

Mat Lagao Boli Apne Alfaazo Ki,
Humne Likhna Suru Kiya To Tum Nilaam Ho Jaoge.

मत लगाओ बोली अपने अल्फ़ाज़ों की,
हमने लिखना शुरू किया तो तुम नीलाम हो जाओगे।

Ek Umr Kati Do Alfaaz Main,
Ek Aas Main... Ek Kaash Main.

एक उम्र कटी दो अलफ़ाज़ में,
एक आस में... एक काश... में।

Advertisement

Comments