Advertisement

Ye Labon Ke Maikhane

Ye Gesuon Ki Ghatayein Ye Labon Ke Maikhane,
Nigaah-e-Shauq Khudaya Kahan Kahan Thhehre.

ये गेशुओं कि घटायें ये लबों के महखाने,
निगाह-ए-शौक खुदाया कहाँ कहाँ ठेहरे।

Meri Nigahe-Shauq Bhi Kuchh Kam Nahi Magar,
Fir Bhi Tera Shabaab Tera Hi Shabaab Hai.

मेरी निगाह-ए-शौक भी कुछ कम नहीं मगर,
फिर भी तेरा शबाब तेरा ही शबाब है।

Abhi Is Taraf Na Nigaah Kar Main Ghazal Ki Palkein Sanwaar Lu,
Mera Lafz-Lafz Ho Aayina Tujhe Aayine Me Utaar Lu.

अभी इस तरफ न निगाह कर मैं ग़ज़ल की पलकें सवार लू,
मेरा लफ्ज़-लफ्ज़ हो आइना तुझे आईने में उतार लूँ।

Advertisement

Adaa Aayi Jafa Aayi Garur Aaya Itaab Aaya,
Hajaron Aaftein Lekar Haseeno Ka Shabaab Aaya.

अदा आफतें जफा आयी गरूर आया इताब आया,
हजारों आफतें लेकर हसीनो का शबाब आया।

Shokhi Se Thhaherati Nahi Qatil Ki Nazar Aaj,
Yeh Barq-e-Bala Dekhiye Girti Hai Kidhar Aaj.

शोखी से ठाहेरती नहीं कातिल की नजर आज,
ये बर्क-ए-बाला देखिये गिरती है किधर आज।

Dil Me Samaa Gayi Hain Qayamat Ki Shokhiyan,
Do Char Din Raha Tha Kisi Ki Nigaah Mein.

Advertisement

Comments