Advertisement

Shayar Kah Kar

Shayar Kah Kar Mujhe Badnaam Na Karo Dosto,
Main To Roj Shaam Ko Din Bhar Ka Hisaab Likhta Hun.

शायर कह कर मुझे बदनाम ना करना दोस्तो,
में तो रोज़ शाम को दिन भर का हिसाब लिखता हूँ।

Shayar Kah Kar - Two Line Shayari hindi

Shayaron Se Talluk Rakho, Tabiyat Theek Rahegi
Ye Wo Hakeem Hain, Alafazo Se ilaaj Karte Hain.

शायरों से ताल्लुक रखो, तबियत ठीक रहेगी
ये वो हकीम हैं, अलफ़ाजो से ईलाज करते है।

Chhupi Hoti Hai Lafjon Me Gahari Raaj Ki Baten,
Log Shayari Samajh Ke Bas Muskura Dete Hain.

Advertisement

छुपी होती है लफ्जों में गहरी राज की बातें,
लोग शायरी समझ के बस मुस्कुरा देते हैं।

Kagzon Pe Likh Kar Zaya Kar Doon Main Wo Shakhs Nahi,
Wo Shayar Hun Jise Dilon Pe Likhne Ka Hunar Aata Hai.

कागज़ों पे लिख कर ज़ाया कर दूँ मै वो शख़्स नही,
वो शायर हूँ जिसे दिलों पे लिखने का हुनर आता है।

Mila Kya Hamen, Sari Umr Mohabbat Karke,
Bas Ek Shayari Ka Hunar, Ek Raton Ka Jagna.

मिला क्या हमें, सारी उम्र मोहब्बत करके,
बस एक शायरी का हुनर, एक रातों का जागना।

Shayari Se Bhare Pannon Ko Chhookar Dekha Hai Kabhi,
Koi Dil Vahaan Bhi Dhadaka Karta Hai.

शायरी से भरे पन्नों को छूकर देखा है कभी,
कोई दिल वहाँ भी धड़का करता है।

Advertisement

Comments