Advertisement

Ghar Ko Jalane Wale

Aakhir Kyun Banaya Mujhe Aye Banane Wale,
Bahut Dard Dete Hai Ye Zamane Wale,
Maine Aag Ke Ujale Me Kuchh Chehre Dekhe,
Mere Apne Hi The Mere Ghar Ko Jalane Wale.

आखिर क्यों बनाया मुझे ए बनाने वाले,
बहुत दर्द देते हैं ये जमाने वाले,
मैंने आग के उजाले में कुछ चेहरे देखे,
मेरे अपने ही थे मेरे घर को जलाने वाले।

sad man

Ai Mere Dil Mat Kar Itni Mohabbat Tu Kisi Se,
Ishq Me Mila Dard Tu Sah Nahi Payega,
Ek Din Toot Kar Bikhar Jayega Apno Ke Hatho Se,
Kisne Toda Ye Bhi Kisi Se Kah Nahi Payega.

ऐ मेरे दिल मत कर इतनी मोहब्बत तू किसी से,
इश्क़ में मिला दर्द तू सह नहीं पायेगा,
एक दिन टूट कर बिखर जायेगा अपनों के हाथों से,
किसने तोड़ा ये भी किसी से कह नहीं पायेगा।

Advertisement

Apno Ke Saath Waqt Ka Pata Nahi Chalta,
Par Apno Ka Pata Chalta Hai Waqt Ke Saath,
Waqt Nahi Badalta Apno Ke Saath,
Par Apne Jarur Badal Jate Hain Waqt Ke Saath.

अपनों के साथ वक़्त का पता नहीं चलता,
पर अपनों का पता चलता है वक़्त के साथ,
वक़्त नहीं बदलता अपनों के साथ,
पर अपने ज़रूर बदल जाते हैं वक़्त के साथ।

Waqt Noor Ko Be-noor Kar Deta Hai,
Chhote se Zakhm Ko Nasoor Kar Deta Hai,
Kaun Chahta Hai Apno Se Door Rehna,
Par Waqt Sabko Majboor Kar Deta Hai.

वक़्त नूर को बे-नूर कर देता है,
छोटे से जख्म को नासूर कर देता है,
कौन चाहता है अपनों से दूर रहना,
पर वक़्त सबको मजबूर कर देता है।

Advertisement

Comments