Advertisement

Khuda Dekh Raha Hai

Mit Jaaye Gunaahon Ka Tasawur Hi Jahan Se,
Agar Ho Jaye Yakeen Ke Khuda Dekh Raha Hai.

मिट जाए गुनाहों का तसवुर ही जहाँ से,
अगर हो जाये यकीन के खुदा देख रहा है।

Kuda Shayari - Khuda Dekh Raha Hai

Hawa Khilaaf Thi Lekin Chirag Bhi Khoob Jala,
Khuda Bhi Apne Hone Ka Kya Kya Saboot Deta Hai.

हवा खिलाफ थी लेकिन चिराग भी खूब जला,
खुदा भी अपने होने का क्या क्या सबूत देता है।

Saleeka Hi Nahin Shayad Use Mahsoos Karne Ka,
Jo Kahta Hai Khuda Hai To Najar Aana Jaruri Hai.

सलीक़ा ही नहीं शायद उसे महसूस करने का,
जो कहता है ख़ुदा है तो नज़र आना ज़रूरी है।

Advertisement

Laakh Dhoondhen Gauhar-e-Maqsood Mil Sakta Nahin,
Hukm Gar Tera Na Ho Patta Bhi Hil Sakta Nahin.

लाख ढूंढें गौहर-ए-मक़सूद मिल सकता नहीं,
हुक्म गर तेरा न हो पत्ता भी हिल सकता नहीं।

Har Zarra Chamakta Hai Anwaar-e-ilahi Se,
Har Saans Ye Kehti Hai Hum Hain To Khuda Bhi Hai.

हर ज़र्रा चमकता है अनवर-ए-इलाही से,
हर सांस ये कहती है हम हैं तो खुदा भी है।

Tera Karam To Aam Hai Duniya Ke Vaste,
Main Kitna Le Saka Ye Muqaddar Ki Baat Hai.

तेरा करम तो आम है दुनिया के वास्ते,
मैं कितना ले सका ये मुकद्दर की बात है।

Advertisement

Comments