Sad Shayari

Advertisement

Sirf Kismat Me Nahi

Wo Dil Me Hai Dhadkan Me Hai Rooh Me Hai,
Sirf Kismat Me Nahi To Khuda Se Gila Kaisa.

वो दिल में है धड़कन में है रूह में है,
सिर्फ किस्मत में नहीं तो खुदा से गिला कैसा।

Udaas Kar Gayi... Aaj Ki Subah Bhi Mujhe,
Jaise Bhula Raha Ho Koi Aahista-Aahista.

उदास कर गई... आज की सुबह भी मुझे,
जैसे भुला रहा हो कोई आहिस्ता-आहिस्ता।

Mausam Ki Misaal Dun Ya Naam Lu Tumhara,
Koi Puchh Baitha Hai Badalna Kisko Kehte Hai.

मौसम की मिसाल दूँ या नाम लू तुम्हारा,
कोई पूछ बैठा है बदलना किसे कहते हैं।

Tum Lautkar Aane Ki Takleef Dobara Mat Karna,
Ham Ek Baar Ki Gayi Mohabbat Dobara Nahin Karte.

तुम लौटकर आने की तकलीफ दोबारा मत करना,
हम एक बार की गई मोहब्बत दोबारा नहीं करते।

Zakhm Taaza Ho To Ruk Ruk Ke Kasak Hoti Hai,
Yaad Gahari Ho To Tham Tham Ke Qaraar Aata Hai.

ज़ख्म ताज़ा हो तो रुक रुक के कसक होती है,
याद गहरी हो तो थम थम के क़रार आता है।

Bechainiyaan Bajaar Me, Nahin Mila Karti Yaron,
Bantne Wala... Koi Bahut Nazadeeki Hota Hai.

बेचैनियां बाजार में, नहीं मिला करती यारों,
बाँटने वाला... कोई बहुत नज़दीकी होता है।

Advertisement

Sare Raah Jo Unse

Sare Raah Jo Unse Nazar Mili,
To Naksh Dil Ke Ubhar Gaye,
Hum Nazar Mila Kar Jhijhak Gaye,
Wo Nazar Jhhuka Kar Chale Gaye.

सारे राह जो उनसे नजर मिली,
तो नक्स दिल के उभर गए,
हम नजर मिला के झिझक गए,
वो नजर झुका के चले गए।

Sare Raah Jo Unse - Sad Shayari - Sad Man

Read more →

Advertisement

Lagta Nahin Hai Dil

Lagta Nahin Hai Dil Mera Ujade Dayaar Me,
Kiski Bani Hai Aalam-e-NaPayedar Me.

Keh Do Inn Hasraton Se Kahin Aur Ja Basein,
Itni Jagah Kahan Hai Dil-e-Daagdaar Me.

Read more →

Advertisement

Koi Hume Na Mila

Kya Ajeeb Khel Raha Hai Iss Mohabbat Ka Bhi,
Kisi Ko Hum Na Mile Aur Koi Hume Na Mila.

क्या अजीब खेल रहा है इस मोहब्बत का भी,
किसी को हम न मिले और कोई हमें न मिला।

Koi Hume Na Mila - Sad Shayari

Hosho Hawaas Aur Taabo Tawaa Daagh Ja Chuke,
Ab Hum Bhi Jaane Wale Hain Saamaan To Gaya.

होशो हवास और ताबो तवा दाग जा चुके,
अब हम भी जाने वाले हैं सामान तो गया।

Zikr Uss Pari-Was Ka Aur Phir Bayaan Apna,
Ban Gaya Raqeeb Aakhir Tha Jo Raaz-Daan Apna.

जिक्र उस परी-वास का और फिर बयान अपना,
बन गया रकीब आखिर था जो राज़-दान अपना।

Vaham Tha Ki Sara Baag Apna Hai Tufaan Ke Baad,
Pata Chala Sookhe Patton Par Bhi Hak Hawaon Ka Tha.

वहम था कि सारा बाग अपना है तूफान के बाद,
पता चला सूखे पत्तों पर भी हक हवाओं का था।

Us Bulandi Se Tumne Navaaja Kyon Tha
Gir Kar Main Toot Gaya Kaanch Ke Bartan Ki Tarah

उस बुलंदी से तुमने नवाजा क्यों था
गिर कर मैं टूट गया कांच के बर्तन की तरह।

Hamne Tumhen Us Din Se Aur Zyaada Chaaha Hai,
Jabase Maaloom Hua Ke Tum Hamare Hona Nahi Chaahte.

हमने तुम्हें उस दिन से और ज़्यादा चाहा है,
जबसे मालूम हुआ के तुम हमारे होना नही चाहते।

Advertisement

Muskurana Bhul Gaye

Tum Bhi Kar Ke Dekh Lo Mohabbat Kisi Se,
Jaan Jaoge Ki Hum Muskurana Kyun Bhul Gaye.

तुम भी कर के देख लो मोहब्बत किसी से,
जान जाओगे की हम मुस्कुराना क्यों भूल गए।

Muskurana Bhool Gaye - Sad Shayari

Apna Hi Samajhte Hain Tumhen Dil-O-Jana Ham Tumhen,
Dushmano Ko To Kabhi Dil Me Basaaya Nahin Jaata.

अपना ही समझते हैं तुम्हें दिल-ओ-जाना हम तुम्हें,
दुश्मनों को तो कभी दिल में बसाया नहीं जाता।

Rakhe Hain Dil Mein Hum Ne Bade Ehtram Se,
Jo Gham Diye Hain Tumne Mohabbat Ke Naam Se.

रखे हैं दिल में हम ने बड़े एहतराम से,
जो ग़म दिए हैं तुमने मोहब्बत के नाम से।

Gham Ki Tashreeh Bohat Mushkil Thi,
Apni Tasveer Dikha Di Humne.

ग़म की तशरीह बहुत मुश्किल थी,
अपनी तस्वीर दिखा दी हमने।

Na Jaane Kis Liye Umeed-Vaar Baitha Hun,
Ek Aisi Raah Pe Jo Teri Rahguzar Bhi Nahi.
~ Faiz Ahmad Faiz

न जाने किस लिए उम्मीद-वार बैठा हूँ,
एक ऐसी राह पे जो तेरी रहगुज़र भी नही।
~ Faiz Ahmad Faiz