Sad Shayari

Advertisement

Silsile Tod Gaya Wo

Very Very Sad and Heart Touching Faraz Shayari:-

Silsile Tod Gaya Wo Sabhi Jate-Jate,
Varna Itne To Marasim The Ki Aate-Jate.

Shikwa e Zulmate Shab Se To Kahin Behtar Tha,
Apne Hisse Ki Koi Shamma Jalate Jate.

Kitna Aasaan Tha Tere Hijr Me Marna Jana,
Phir Bhi Ek Umr Lagi Jaan Se Jate Jate.

Jashn-e-Maqtal Hi Na Barpa Hua Varna Hum Bhi,
Pa Bajola Hi Sahi Nachte Gaate Jate.

Uski Wo Jaane Use Paas-e-Wafa Tha Ki Na Tha,
Tum Faraz Apni Taraf Se To Wafa Nibhate Jate.

सिलसिले तोड़ गया वो सभी जाते जाते,
वरना इतने तो मरासिम थे की आते-जाते,

शिकवा ए जुल्माते शब से तो कहीं बहतर था,
अपने हिस्से  की कोई शम्मा जलाते जाते।

कितना आसान था तेरे हिज्र में मरना जाना,
फिर भी एक उम्र लगी जान जाते जाते।

जश्न-ए-मकतल जी न बरपा हुआ वरना हम भी,
पा बजोला ही सही नाचते गाते जाते।

उसकी वो जाने उसे पास-ए-वफ़ा था की न था,
तुम फराज़ अपनी तरफ से तो वफा निभाते जाते।

Advertisement

Kishton Me Khudkushi

Ek Pal Me Ek Sadi Ka Maza Hum Se Puchhiye,
Do Din Ki Zindagi Ka Maza Hum Se Puchhiye.

Bhule Hain Unhe Rafta Rafta Muddaton Me Hum,
Kishton Me Khudkushi Ka Maza Hum Se Puchhiye.

Read more →

Advertisement

Usne Mangi Thi

Dard-o-Gham, Aansu aur Dil (Very Sad Shayari)

Dard Se Haath Na Milate To Aur Kya Karte,
Gham Me Aansu Na Bahate To Aur Kya Karte,
Usne Mangi Thi Humse Roshni Ki Duaa,
Hum Apna Dil Na Jalate To Aur Kya Karte.

दर्द से हाथ न मिलाते तो और क्या करते,
ग़म में आँसू न बहाते तो और क्या करते,
उसने मांगी थी हमसे रौशनी की दुआ,
हम अपना दिल न जलाते तो और क्या करते।

Advertisement

Lutf Fareb Khane Mein

Lutf Humko Aata Hai Ab Fareb Khane Mein,
Aajmaaye Logon Ko Roj Aajmaane Mein.

Do Ghadi Ke Saathi Humsafar Samajhte Hain,
Kis Kadar Purane Hain Hum Naye Zamane Mein.

Tere Paas Aane Mein Aadhi Umar Gujri Hai,
Aadhi Umar Gujregi Tujh Se Door Jane Mein.

Ehtiyat Rakhne Ki Koi Had Bhi Hoti Hai,
Bhed Humne Khole Hain Bhed Ko Chhupane Mein.

Zindagi Tamasha Hai Aur Is Tamashe Mein,
Khel Hum Bigadenge Khel Ko Banane Mein.

Kaarwan Ko Unka Bhi Kuchh Khyal Aata Hai,
Jo Safar Mein Bichhde Hain Rasta Banane Mein.

Advertisement

Chhod Di Kis Liye Duniya

Zakhm-e-Tanhai Mein Khushbu-e-Hina Kiski Thi,
Saya Deevar Pe Mera Tha Sada Kiski Thi.

Uski Raftar Se Lipati Rahi Meri Aankhein,
Us Ne Murh Kar Bhi Na Dekha Ki Wafa Kiski Thi.

Read more →

112131415Next ›