Advertisement

Tabahi Ka iljaam Sharab Par

Meri Tabahi Ka iljaam Ab Sharab Par Hai,
Karta Bhi Kya Aur Tum Par Jo Aa Rahi Thi Baat.

मेरी तबाही का इल्ज़ाम अब शराब पर है,
करता भी क्या और तुम पर जो आ रही थी बात।

Sharab Shayari in Hindi For Girl - Meri Tabahi

Na Zakhm Bhare, Na Sharab Sahara Huyi,
Na Wo Bapas Laute, Na Mohabbat Dobara Huyi.

ना ज़ख्म भरे, ना शराब सहारा हुई,
ना वो वापस लौटे, ना मोहब्बत दोबारा हुई।

Advertisement

Hoshiyaar Ham Bhi The Ke Mahafil Mai Baithkar Peete Rahe,
Sharabi Hi Sahi Par Hamne Khud Ke Janaje Ki Taiyari Kar Li.

होशियार हम भी थे के महफिल मै बैठकर पीते रहे,
शराबी ही सही पर हमने खुद के जनाजे की तैयारी कर ली।

Ye Shaam Ka Tasvvur, Ye Maykhane Ka Bayaan,
Tum Khuda Na Hote To Ham Khud Ko Khuda Samajhte.

ये शाम का तस्व्वुर, ये मयखाने का बयान,
तुम खुदा न होते तो हम ख़ुद को खुदा समझते।

Hoth Mila Diye Usne Mere Hotho Se Yeh Kahkar,
Sharab Peena Chhod Doge To Yeh Jaam Tumhe Roz Milega.

होठ मिला दिए उसने मेरे होठो से यह कहकर,
शराब पीना छोड़ दोगे तो यह जाम तुम्हे रोज़ मिलेगा।

Advertisement

Comments