Advertisement

Waqt Shayari, Ai Bure Waqt

Ai Bure Waqt, Jara Adab Se Pesh Aa,
Waqt Nahi Lagta Waqt Badalne Mein.

ऐ बुरे वक्त, जरा अदब से पेश आ,
वक्त नही लगता वक्त बदलने में।

#Waqt Bahut Kuchh, Chheen Leta Hai,
Khair Meri To Sirf Muskuraahat Thi.

#वक़्त बहुत कुछ, छीन लेता है,
खैर मेरी तो सिर्फ़ मुस्कुराहट थी।

Nahin Rahata Koi Shakhs Adhoora Kisi Ke Bina,
Waqt Gujar Hi Jaata Hai Kuchh Paakar Bhi, Kuchh Khokar Bhi.

नहीं रहता कोई शख्स अधूरा किसी के बिना,
वक़्त गुजर ही जाता है कुछ पाकर भी, कुछ खोकर भी।

Advertisement

Waqt Ke Bhi Ajeeb Kisse Hain,
Kisi Ka Katata Nahi Aur, Kisi Ke Paas Hota Nahi.

वक़्त के भी अजीब किस्से हैं,
किसी का कटता नही और, किसी के पास होता नही।

Mujhe Manzoor The Waqt Ke Har Sitam Magar,
Unse Bichhad Jana, Ye Saza Kuchh Jyada Ho Gai.

मुझे मंज़ूर थे वक़्त के हर सितम मगर,
उनसे बिछड़ जाना, ये सज़ा कुछ ज्यादा हो गई।

Guzarata Ja Raha Hai Waqt Aapadhapi Mein Yoon Hi,
Kabhi Mere Bhi Hisse Ek Suhani Shaam Aa Jaaye.

गुज़रता जा रहा है वक़्त आपाधापी में यूँ ही,
कभी मेरे भी हिस्से एक सुहानी शाम आ जाये।

Advertisement

Comments