Advertisement

Hindi Waqt Shayari, Shayad Yeh Waqt

Shayad Yah Waqt Ham Se Koi Chaal Chal Gaya,
Rishta Vafa Ka Aur Hi Rangon Mein Dhal Gaya,
Ashqon Ki Chandni Se Thi Behatar Wo Dhoop Hi,
Chalo Usi Mod Se Shuroo Karen Phir Se Zindagi.

शायद यह वक़्त हम से कोई चाल चल गया,
रिश्ता वफ़ा का और ही रंगों में ढ़ल गया,
अश्क़ों की चाँदनी से थी बेहतर वो धूप ही,
चलो उसी मोड़ से शुरू करें फिर से जिंदगी।

Waqt Shayari - Shayad Yeh Waqt

Waqt Badal Jaata Hai Insaan Badal Jaate Hain,
Waqt Waqt Pe Rishton Ke Andaaz Badal Jate Hain,
Kabhi Apna To Kabhi Kar Diya Paraaya,
Waqt Ki Tarah Zindagi Ke Ehsaas Badal Jaate Hain.

वक़्त बदल जाता है इंसान बदल जाते हैं,
वक़्त वक़्त पे रिश्तों के अंदाज़ बदल जाते हैं,
कभी अपना तो कभी कर दिया पराया,
वक़्त की तरह ज़िंदगी के एहसास बदल जाते हैं।

Advertisement

Chahat Rakhne Waale Manzilon Ko Door Se Takte Nahin,
Bada Kar Kadam Thaam Liya Karte Hain,
Jinke Haathon Mein Ho Waqt Ki Kalam,
Apni Kismat Vo Khud Hi Likha Karte Hain.

चाहत रखने वाले मंज़िलों को दूर से ताकते नहीं,
बड़ा कर कदम थाम लिया करते हैं,
जिनके हाथों में हो वक़्त की कलम,
अपनी किस्मत वो खुद ही लिखा करते हैं।

Na Jane Kyun Waqt Iss Tareh Gujar Jata Hai,
Jo Waqt Bura Hai Wo Palat Ke Samne Aata Hai,
Aur Jis Waqt Ko Hum Dil Se Pana Chahte Hai,
Wo To Bas Ek Lamha Bankar Beet Jata Hai.

न जाने क्यों वक़्त इस तरह गुजर जाता है,
जो वक़्त बुरा है वो पलट के सामने आता है,
और जिस वक़्त को हम दिल से पाना चाहते हैं,
वो तो बस एक लम्हा बनकर बीत जाता है।

Advertisement

Comments