Advertisement

Bewafaon Ki Iss Duniya Me

Ab Dekhiye To Kis Ki Jaan Jaati Hai,
Maine Uski Aur Usne Meri Qasam Khayi Hai.

अब देखिये तो किस की जान जाती है,
मैंने उसकी और उसने मेरी कसम खायी है।

Bewafaon Ki Iss Duniya Me Sambhal Kar Chalna,
Yehan Mohabbat Se Bhi Barbaad Kar Dete Hain Log.

बेवफाओं की इस दुनिया में संभल कर चलना,
यहाँ मोहब्बत से भी बरबाद कर देतें हैं लोग।

Wo Jise Samjhti Thi Zindagi, Meri Dharkano Ka Fareb Tha
Mujhe Muskurana Sikha Ke Wo Meri Rooh Tak Rula Gayi,

वो जिसे समझती थी ज़िन्दगी, मेरी धड़कनो का फरेब था,
मुझे मुस्कुराना सिखा के, वो मेरी रूह तक रुला गयी।

Mohabbat Se Bhari Koyi Ghazal Use Pasand Nahi,
Bewafai Ke Har Sher Pe Wo Daad Diya Karte Hain.

मोहब्बत से भरी कोई गजल उसे पसंद नहीं,
बेवफाई के हर शेर पे वो दाद दिया करते हैं।

Advertisement

Kahte The Jo Teri Khatir Jaan Bhi Luta Denge,
Aaj Kahte Hain Mera Hath Chhod Do Izzat Ka Sawal Hai.

कहते थे जो तेरी खातिर जान भी लुटा देंगे,
आज कहते हैं मेरा हाथ छोड़ दो इज्जत का सवाल है।

Tune Jo Mita Dala Tha Mujhko Bewafa,
Meri Paak Mohabbat Ki Ek Taseer Abhi Baaki Hai.

तुने जो मिटा डाला था मुझको बेवफा,
मेरी पाक मुहब्बत की एक तासीर अभी बाकी है।

Kar Diya Kurbaan Khud Ko Humne Wafa Ke Naam Par,
Chhod Gaye Wo Humko Akela Majbooryon Ke Naam Par.

कर दिया कुर्बान खुद को हमने वफ़ा के नाम पर,
छोड़ गए वो हमको अकेला मजबूरियों के नाम पर।

Chalo Itna To Nikla Kaam Baham Aashnai Se,
Wafa Se Hum Ho Gaye Ashna Aur Tum Bewafai Se.

चलो इतना तो निकला काम बहम आशनाई से,
वफ़ा से हम हो गए आशना और तुम बेवफाई से।

Advertisement

Comments