Advertisement

Phool Khila Karte The

Mere Aagan Mein Bhi Kabhi Phool Khila Karte The,
Meri Aankho Mein Bhi Kuchh Khwab Basa Karte The.

Mujh Ko Halaat Ki Aandhi Ne Giraya Varna,
Mere Seene Mein Bhi Kuchh Log Raha Karte The.

Hai Mujhe Yaad Rafaqat Ki Wo Gehrayian Abhi Bhi,
Dil Khi Dhadkan Bhi Teri Saaf Suna Karte The.

Aaj Mehfil Mein Wo Anjaan Bane Baithe Hain,
Jo Kabhi Mujhe Apni Jaan Kaha Karte The.

Ab Tarasti Hain Teri Deed Ko Aankhein Mohsin,
Ek Zamana Tha Ke Hum Roj Mila Karte The.

Advertisement

मेरे आँगन में भी कभी फूल खिला करते थे,
मेरी आँखों में भी कुछ ख्वाब बसा करते थे।

मुझ को हालात की आंधी ने गिराया वार्ना,
मेरे सीने में भी कुछ लोग रहा करते थे।

है मुझे याद रफक़त की वो गेहराईआं अभी भी,
दिल की धड़कन भी तेरी साफ़ सुना करते थे।

अब तरसती हैं तेरी दीद को आँखें मोहसिन,
एक ज़माना था के हम रोज मिला करते थे।

Advertisement

Comments