Khuda Shayari

Advertisement

Khuda Dekh Raha Hai

Mit Jaaye Gunaahon Ka Tasawur Hi Jahan Se,
Agar Ho Jaye Yakeen Ke Khuda Dekh Raha Hai.

मिट जाए गुनाहों का तसवुर ही जहाँ से,
अगर हो जाये यकीन के खुदा देख रहा है।

Kuda Shayari - Khuda Dekh Raha Hai

Hawa Khilaaf Thi Lekin Chirag Bhi Khoob Jala,
Khuda Bhi Apne Hone Ka Kya Kya Saboot Deta Hai.

हवा खिलाफ थी लेकिन चिराग भी खूब जला,
खुदा भी अपने होने का क्या क्या सबूत देता है।

Saleeka Hi Nahin Shayad Use Mahsoos Karne Ka,
Jo Kahta Hai Khuda Hai To Najar Aana Jaruri Hai.

सलीक़ा ही नहीं शायद उसे महसूस करने का,
जो कहता है ख़ुदा है तो नज़र आना ज़रूरी है।

Laakh Dhoondhen Gauhar-e-Maqsood Mil Sakta Nahin,
Hukm Gar Tera Na Ho Patta Bhi Hil Sakta Nahin.

लाख ढूंढें गौहर-ए-मक़सूद मिल सकता नहीं,
हुक्म गर तेरा न हो पत्ता भी हिल सकता नहीं।

Har Zarra Chamakta Hai Anwaar-e-ilahi Se,
Har Saans Ye Kehti Hai Hum Hain To Khuda Bhi Hai.

हर ज़र्रा चमकता है अनवर-ए-इलाही से,
हर सांस ये कहती है हम हैं तो खुदा भी है।

Tera Karam To Aam Hai Duniya Ke Vaste,
Main Kitna Le Saka Ye Muqaddar Ki Baat Hai.

तेरा करम तो आम है दुनिया के वास्ते,
मैं कितना ले सका ये मुकद्दर की बात है।

Advertisement

Khuda Ka Dar Nahin Lagta

Wo Pahle Sa Kahin, Mujhko Koi Manjar Nahin Lagta,
Yahan Logon Ko Dekho, Ab Khuda Ka Dar Nahin Lagta.

वो पहले सा कहीं, मुझको कोई मंज़र नहीं लगता,
यहाँ लोगों को देखो, अब ख़ुदा का डर नहीं लगता।

Karam Jab Aala-e-Nabi Ka Shareek Hota Hai,
Bigarh Bigarh Kar Har Kaam Theek Hota Hai.

करम जब आला-ए-नबी का शरीक होता है,
बिगढ़ बिगढ़ कर हर काम ठीक होता है।

Khuda Ko Bhool Gaye Log Fikar-e-Rozi Mein,
Talaash Rizq Ki Hai Raaziq Ka Khayaal Nahi.

खुदा को भूल गए लोग फ़िक्र-ए-रोज़ी में,
तलाश रिजक की है राजिक का ख्याल नहीं।

Wo Pehle Sa Kahin Mujhko Koi Manzar Nahi Lagta,
Yehan Logon Ko Dekho Ab Khuda Ka Darr Nahi Lagta.

वो पहले सा कहीं मुझको कोई मंज़र नहीं लगता,
यहाँ लोगों को देखो अब खुदा का डर नहीं लगता।

Wahi Rakhega Mere Ghar Ko Balaaon Se Mehfooz,
Jo Shajar Se Ghonsla Girne Nahin Deta.

वही रखेगा मेरे घर को बलाओं से महफूज़,
जो सजर से घोंसला गिरने नहीं देता ।

Na Tha To Khuda Tha Na Hota To Khuda Hota,
Duboya Mujhko Hone Main Na Hota To Kya Hota.

न था तो खुदा था न होता तो खुदा होता,
डुबोया मुझको होने मैं न होता तो क्या होता।

Advertisement

Khuda Yaad Aa Gaya

Hairan Hun Ibaadat Mein Jhuka Sar Dekh Kar,
Aisa Bhi Kya Hua Jo Khuda Yaad Aa Gaya.

हैरान हूँ तेरा इबादत में झुका सर देखकर,
ऐसा भी क्या हुआ जो खुदा याद आ गया।

Khuda Yaad Aa Gaya - Khuda Shayari

Sunkar Zamane Ki Baaten Tu Apni Adaa Mat Badal,
Yakin Rakh Apne Khuda Par Yun Baar Baar Khuda Mat Badal.

सुनकर ज़माने की बातें तू अपनी अदा मत बदल
यकीं रख अपने खुदा पर यूँ बार बार खुदा मत बदल।

Mohabbat Ki Aajmaish De De Kar, Thak Gaya Hun Ai Khuda,
Kismat Me Koi Aisa Likh De, Jo Maut Tak Wafa Kare.

​मोहब्बत की आजमाइश दे दे कर, थक गया हूँ​ ​ऐ खुदा​,
किस्मत मे कोई ऐसा लिख दे, जो मौत तक वफा करे।

Mujhe Khuda Ke Insaaf Par Us Din Yakeen Ho Gaya,
Jab Maine Ameer Aur Gareeb Ka Ek Jaisa Kafan Dekha.

मुझे खुदा के इन्साफ पर उस दिन यकीन हो गया,
जब मैंने अमीर और गरीब का एक जैसा कफ़न देखा।

Saudagari Nahin Ye Ibadat Khuda Ki Hai,
Ai Be-Khabar Jizaa Ki Tamanna Bhi Chhor De.

सौदागरी नहीं ये इबादत खुदा की है,
ऐ बे-खबर जीजा की तमन्ना भी छोढ़ दे।

Ek Muddat Ke Baad Hum Ne Ye Jaana Ai Khuda,
Ishq Teri Zaat Se Sachha Hai Baki Sab Afsaane.

एक मुद्दत के बाद हमने ये जाना ऐ खुदा,
इश्क तेरी ज़ात से सच्चा है बाकी सब अफ़साने।

Advertisement

Tere Aazaad Bando Ki

Tere Aazaad Bando Ki
Na Ye Duniya Na Wo Duniya,
Yehan Marne Ki Pabandi,
Wahan Jeene Ki Pabandi.

तेरे आजाद बन्दों की
न ये दुनिया न वो दुनिया,
यहाँ मरने की पाबन्दी,
वहाँ जीने की पाबन्दी।

Duniya Se Dil Lagakar Duniya Se Kya Milega,
Yaad-e-Khuda Kiye Ja Tujh Ko Khuda Milega,
Daulat Ho Ya Hukoomat Taqat Ho Ya Jawani,
Har Cheez Mitne Wali Har Cheez Aani Jaani.

दुनिया से दिल लगाकर दुनिया से क्या मिलेगा,
याद-ए-खुदा किये जा तुझ को खुदा मिलेगा,
दौलत हो या हुकूमत ताक़त हो या जवानी,
हर चीज़ मिटने वाली हर चीज़ आनी जानी।

Khuda Se Pyara Koi Naam Nahi Hota,
Uski Ibadat Se Bada Koi Kaam Nahi Hota,
Duniya Ki Mohabbat Me Hai Ruswaiya Badi,
Par Uski Mohabbat Me Koi Badnam Nahi Hota.

खुदा से प्यारा कोई नाम नहीं होता,
उसकी इबादत से बड़ा कोई काम नहीं होता,
दुनिया की मोहब्बत में है रुसवाईयां बड़ी,
पर उसकी मोहब्बत में कोई बदनाम नहीं होता।

Hume Is Chist Se Ummid Kya Thi Aur Kya Nikla,
Kahan Jana Hua Tha Tay Kahan Se Rasta Nikla,
Khuda Jinko Samajhte The Wo Sheesha The Na Pathar The,
Jise Pathar Samjhte The Bahi Apna Khuda Nikla.

हमें इस चिस्त से उम्मीद क्या थी और क्या निकला,
कहाँ जाना हुआ था तय कहाँ से रास्ता निकला,
खुदा जिनको समझते थे वो शीशा थे न पत्थर थे,
जिसे पत्थर समझते थे वही अपना खुदा निकला।

Advertisement

Mitti Ke Khilono Se

Apna To Aashiqi Ka Kissa-e-Mukhtsar Hai,
Hum Ja Mile Khuda Se Dilbar Badal-Badal Kar.

अपना तो आशिकी का किस्सा-ए-मुख़्तसर है,
हम जा मिले खुदा से दिलबर बदल- बदल कर।

Mohabbat Kar Sakte Ho To Khuda Se Karo,
Mitti Ke Khilono Se Kabhi Wafa Nahi Milti.

मोहब्बत कर सकते हो तो खुदा से करो,
मिटटी के खिलौनों से कभी वफ़ा नहीं मिलती।

Mitti Ke Khilone Khuda Shayari

Kar Leta Hun Bardast Tera Har Dard Isi Aas Ke Sath,
Ki Khuda Noor Bhi Barsata Hai, Aajmaishon Ke Baad.

कर लेता हूँ बर्दाश्त तेरा हर दर्द इसी आस के साथ,
की खुदा नूर भी बरसाता है, आज़माइशों के बाद।

Laut Aati Hai Har Baar Dua Meri Khaali,
Jaane Kitni Unchai Par Khuda Rehta Hai.

लौट आती है हर बार दुआ मेरी खाली,
जाने कितनी ऊंचाई पर खुदा रहता है।

Hum Mutmayin Hain Us Ki Raza Ke Baghair Bhi,
Har Kaam Chal Raha Hai Khuda Ke Baghair Bhi.

हम मुतमईन है उस की राजा के बगैर भी,
हर काम चल रहा है खुदा के बगैर भी।

Baad Marne Ke Mili Jannat Khuda Ka Shukr Hai,
Mujhko Dafnaya Rafiko Ne Gali Me Yaar Ki.

बाद मरने के मिली जन्नत ख़ुदा का शुक्र है,
मुझको दफ़नाया रफ़ीक़ों ने गली में यार की।

Bandagi Hamne Chhod Di Ai Faraz,
Kya Karen Log Jab Khuda Ho Jayen.

बंदगी हमने छोड़ दी ए फ़राज़,
क्या करें लोग जब ख़ुदा हो जाएँ।