Advertisement

Barbadion Ka Zikr

Hota Hai Jis Jagah Meri
Barbadion Ka Zikr,
Tera Bhi Naam Leti Hai
Duniya Kabhi Kabhi.

होता है जिस जगह मेरी
बरबादियों का जिक्र,
तेरा भी नाम लेती है
दुनिया कभी कभी।

Meri Daastan Ka Uroj Tha
Teri Narm Palkon Ke Chhaon Mein,
Mere Saath Tha Tujhe Jaagna
Teri Aankh Kaise Jhapak Gayi.

मेरी दास्तान का उरोज था
तेरी नर्म पालकों के छाँव में,
मेरे साथ था तुझे जागना
तेरी आंख कैसे झपक गई।
Mujhe Tujhse Koyi Shiqwa Ya Shikayat Nahi Hai,
Shayad Mere Naseeb Me Teri Chahat Nahi Hai,
Meri Takdir Likh Kar Khuda Bhi Muqar Gaya,
Maine Puchha To Bola Yeh Meri Likhawat Nahi Hai.

मुझे तुझसे कोई शिकवा या शिकायत नहीं है,
शायद मेरे नसीब में तेरी चाहत नहीं है,
मेरी तकदीर लिख कर खुदा भी मुकर गया,
मैंने पुछा तो बोला ये मेरी लिखावट नहीं है।

Advertisement

Tum Na Aaye To Kya Sahar Na Huyi,
Haan Magar Chain Se Basar Na Huyi,
Mera Nala Suna Zamane Ne Magar,
Ek Tum Ho Jise Khabar Na Huyi.

तुम ना आए तो क्या सहर न हुई,
हां मगर चैन से बसर ना हुई,
मेरा नाला सुना जमाने ने मगर,
एक तुम हो जिसे खबर न हुई।

Kya Batau Kaise Khud Ko Dar-Ba-Dar Maine Kiya,
Umr Bhar Kis Kis Ke Hisse Ka Safar Maine Kiya,
Tu To Nafrat Bhi Na Kar Payega Iss Shiddat Ke Saath,
Jis Bala Ka Pyar Tujhse Bekhabar Maine Kiya.

क्या बताउ कैसे खुद को दर-ब-दर मैंने किया,
उमर भर किस किस के हिस्से का सफर मैंने किया,
तू तो नफ़रत भी ना कर पायेगा इस शिद्दत के साथ,
जिस बाला का प्यार तुझसे बेखबर मैंने किया।

Advertisement

Comments