Maut Shayari

Advertisement

Meri Maut Ka Fayeda

Pehle Zindagi Chheen Li Mujhse,
Ab Meri Maut Ka Fayeda Uthati Hai,
Meri Qabr Pe Phool Charhane Ke Bahane,
Wo Kisi Aur Se Milane Aati Hai.

पहले ज़िन्दगी छीन ली मुझसे,
अब मेरी मौत का फायेदा उठाती है,
मेरी कब्र पे फूल चढ़ाने के बहाने,
वो किसी और से मिलने आती है।

Meri Maut Ka Fayeda - Maut Shayari

Read more →

Advertisement

Meri Maut Ka Manzar

Kitna Dil Fareb Hoga Wo Meri Maut Ka Manzar,
Mujhe Thukrane Wale Mere Liye Aansu Bahayange.

कितना दिल फरेब होगा वो मेरी मौत का मंज़र,
मुझे ठुकराने वाले मेरे लिए आँसू बहायेंगे।

Jo Maut Se Na Darta Tha, Bachchon Se Dar Gaya,
Ek Raat Jab Khali Haath Majdoor Ghar Gaya.

जो मौत से ना डरता था, बच्चों से डर गया,
एक रात जब खाली हाथ मजदूर घर गया।

Read more →

Advertisement

Supurd-e-Khak Hun

Ab Supurd-e-Khak Hun Mujhko Jalana Chhod De,
Qabr Par Meri Tu Uske Saath Aana Chhod De,
Ho Sake Gar Tu Khushi Se Ashq Peena Seekh Le,
Ya Tu Aankhon Me Apni Kajal Lagana Chhod De.

अब सुपुर्द-ए-खाक हूँ मुझको जलाना छोड़ दे,
कब्र पर मेरी तू उसके साथ आना छोड़ दे,
हो सके गर तू खुशी से अश्क पीना सीख ले,
या तू आँखों में अपनी काजल लगाना छोड़ दे।

Read more →

Advertisement

Mitti Ki Chadar

Odh Kar Mitti Ki Chadar BeNishan Ho Jayenge,
Ek Din Aayega Hum Bhi Dastaan Ho Jayenge.

ओढ़ कर मिटटी कि चादर बेनिशान हो जायेंगे,
एक दिन आएगा हम भी दास्तान हो जायेंगे।

Bichhda Kuchh Is Ada Se Ki Rut Hi Badal Gayi,
Ik Shakhs Saare Shahar Ko Veeraan Sa Kar Gaya Hai.

बिछड़ा कुछ इस अदा से कि रुत ही बदल गयी,
इक शख़्स सारे शहर को वीरान सा कर गया है।

Read more →

Advertisement

Mar Ke Dikhana Pada

Wo Kar Nahi Rahe The Meri Baat Ka Yakeen,
Phir Yun Hua Ke Mar Ke Dikhana Pada Mujhe.

वो कर नहीं रहे थे मेरी बात का यकीन,
फिर यूँ हुआ के मर के दिखाना पड़ा मुझे।

Maut Shayari - Mar Ke Dikhana Pada

Jo Log Maut Ko Zaalim Qaraar Dete Hain,
Khuda Milaye Unhen Zindagi Ke Maaron Se

जो लोग मौत को ज़ालिम क़रार देते हैं,
ख़ुदा मिलाए उन्हें ज़िंदगी के मारों से।

Read more →