Read Shayari in Hindi

Advertisement

Ishq Ki Raah Me

Khuda Ki Rehmat Me Arziyan Nahi Chalti,
Dilon Ke Khel Me Khud-Garziyan Nahi Chalti,
Chal Hi Pade Hain To Ye Jaan Lijiye Huzoor,
Ishq Ki Raah Me Man-Marjiyan Nahi Chalti.

खुदा की रहमत में अर्जियां नहीं चलती,
दिलो के खेल में खुद-गर्जियाँ नही चलती,
चल ही पड़े हैं तो ये जान लीजिये हुजुर,
इश्क की राह में मन-मर्जियां नहीं चलती।

Ishq Ki Raah Me - Ishq Shayari For Girlfriend

Read more →

Advertisement

Usne Mangi Thi

Dard-o-Gham, Aansu aur Dil (Very Sad Shayari)

Dard Se Haath Na Milate To Aur Kya Karte,
Gham Me Aansu Na Bahate To Aur Kya Karte,
Usne Mangi Thi Humse Roshni Ki Duaa,
Hum Apna Dil Na Jalate To Aur Kya Karte.

दर्द से हाथ न मिलाते तो और क्या करते,
ग़म में आँसू न बहाते तो और क्या करते,
उसने मांगी थी हमसे रौशनी की दुआ,
हम अपना दिल न जलाते तो और क्या करते।

Advertisement

Dost Aap Jaise

Friendship Shayari Dost Aap Jaise

Diye To Aandhi Me Bhi Jala Karte Hain,
Gulaab To Kaanto Me Hi Khila Karte Hain,
Khush-Naseeb Bahut Hoti Hai Woh Shaam,
Jisme Dost Aap Jaise Mila Karte Hain.

दिए तो आंधी में भी जला करते हैं,
गुलाब तो काँटों में ही खिला करते हैं,
खुशनसीब बहुत होती है वो शाम,
जिसमे दोस्त आप जैसे मिला करते हैं।

Advertisement

Apna Rahnuma Khud Bano

Inspirational Shayari Rahnuma Khud Bano

Agar Paani Hai Manzil Toh Apna Rahnuma Khud Bano,
Wo Aksar Bhatak Jaate Hain Jinhe Sahara Mil Jata Hai.

अगर पानी है मंजिल तो अपना रहनुमा खुद बनो,
वो अक्सर भटक जाते हैं जिन्हें सहारा मिल जाता है।

Yadi Andhkaar Se Ladne Ka Sankalp Koi Kar Leta Hai,
To Ek Akela Jugnu Bhi Sab Andhkaar Har Leta Hai.

यदि अंधकार से लड़ने का संकल्प कोई कर लेता है,
तो एक अकेला जुगनू भी सब अन्धकार हर लेता है।

Jitna Kathin Sngharsh Hoga,
Jeet Utni Hi Shaandar Hogi.

जितना कठिन संघर्ष होगा,
जीत उतनी ही शानदार होगी।

Kaise Kah Dun Thak Gaya Hun Main
Ghar Mein Na Jane Kitno Ka Honsla Hun Main.

कैसे कह दूँ थक गया हूँ मैं
घर में ना जाने कितनो का होंसला हूँ मैं।

Advertisement

Kaisa Daur Hai Saqi

Kahin Saagar Labalab Hain Kahin Khaali Pyale Hain,
Yeh Kaisa Daur Hai Saqi Yeh Kya Taqseem Hai Saqi.

कहीं सागर लबालब हैं कहीं खाली प्याले हैं,
यह कैसा दौर है साकी यह क्या तकसीम है साकी।