Read Shayari in Hindi

Advertisement

Lutf Fareb Khane Mein

Lutf Humko Aata Hai Ab Fareb Khane Mein,
Aajmaaye Logon Ko Roj Aajmaane Mein.

Do Ghadi Ke Saathi Humsafar Samajhte Hain,
Kis Kadar Purane Hain Hum Naye Zamane Mein.

Tere Paas Aane Mein Aadhi Umar Gujri Hai,
Aadhi Umar Gujregi Tujh Se Door Jane Mein.

Ehtiyat Rakhne Ki Koi Had Bhi Hoti Hai,
Bhed Humne Khole Hain Bhed Ko Chhupane Mein.

Zindagi Tamasha Hai Aur Is Tamashe Mein,
Khel Hum Bigadenge Khel Ko Banane Mein.

Kaarwan Ko Unka Bhi Kuchh Khyal Aata Hai,
Jo Safar Mein Bichhde Hain Rasta Banane Mein.

Advertisement

Ye Mausam Hai Barish Ka

Ye Mausam Hai Barish Ka Aur Yaad Tumhari Aati Hai,
Barish Ke Har Qatre Se Aawaz Tumhari Aati Hai.
Badal Jab Garajte Hain Dil Ki Dhadkan Barh Jati Hai,
Dil Ki Har Ek Dharkan Se Awaz Tumhari Aati Hai.
Jab Tej Hawayein Chalti Hai To Jaan Humari Jati Hai,
Ye Mausam Hai Barish Ka Aur Yaad Tumhari Aati Hai.

ये मौसम है बारिश का और याद तुम्हारी आती है,
बारिश के हर कतरे से आवाज़ तुम्हारी आती है,
बादल जब गरजते हैं दिल की धड़कन बढ़ जाती है,
दिल की हर एक धड़कन से आवाज़ तुम्हारी आती है,
जब तेज हवाएं चलती हैं तो जान हमारी जाती है,
ये मौसम है बारिश का और याद तुम्हारी आती है।

Inn Baadalon Ka Mizaaj Bhi...
Mere Mehboob Jaisa Hai,
Kabhi Toot Ke Barasta Hai,
Kabhi Berukhi Se Gujar Jata Hai.

इन बादलों का मिज़ाज भी...
मेरे महबूब जैसा है,
कभी टूट के बरसता है,
कभी बेरुखी से गुजर जाता है।

Itni Shiddat Se To Barsaat Bhi Kam Barse,
Jis Tarah Aankh Teri Yaad Me Nam Barase,
Minnate Kaun Kare Ek Gharonde Ke Liye,
Badal Se Keh Do Aaj Jhama-jham Barse.

इतनी सिद्दत से तो बरसात भी कम बरसे,
जिस तरह आँख तेरी याद में नम बरसे,
मिन्नतें कौन करे एक घरोंदे के लिए,
बादल से कह दो आज झमा-झम बरसे।

Dil Ki Baatein Kaun Jaane,
Mere Halat Ko Kaun Jaane,
Bas Barish Ka Mausam Hai,
Par Dil Ki Khwahish Ko Kaun Jaane,
Meri Pyaas Ka Ehsaas Kaun Jaane?

दिल की बातें कौन जाने,
मेरे हालात को कौन जाने,
बस बारिश का मौसम है,
पर दिल की ख्वाहिस को कौन जाने,
मेरी प्यास का एहसास कौन जाने?

Advertisement

Aitbaar Ki Marammat

Joron Se Hans Pade Hum Badi Muddaton Ke Baad,
Fir Kaha Kisi Ne Ke Mera Aitbar Kijiye.

जोरों से हँस पड़े हम बड़ी मुद्दतों के बाद,
फिर कहा किसी ने कि मेरा ऐतबार कीजिये।

Torh Kar Jorh Lo Chahe Har Cheej Duniya Ki,
Sabki Marammat Mumkin Hai Aitbaar Ke Siwa.

तोढ़ कर जोड़ लो चाहे हर चीज दुनिया की,
सबकी मरम्मत मुमकिन है ऐतबार के सिवा।

Ghazab Kiya Tere Vaade Par Aitbaar Kiya,
Tamaam Raat Qayamat Ka Intezar Kiya.

ग़जब किया तेरे बादे पर ऐतबार किया,
तमाम रात क़यामत का इंतजार किया।

Tum Mujhe Ek Mauka To Do Aitbaar Banaane Ka,
Thak Jaoge Meri Wafaon Ke Saath Chalte Chalte.

तुम मुझे एक मौका तो दो ऐतबार बनाने का,
थक जाओगे मेरी वफाओं के साथ चलते चलते।

Advertisement

Chhod Di Kis Liye Duniya

Zakhm-e-Tanhai Mein Khushbu-e-Hina Kiski Thi,
Saya Deevar Pe Mera Tha Sada Kiski Thi.

Uski Raftar Se Lipati Rahi Meri Aankhein,
Us Ne Murh Kar Bhi Na Dekha Ki Wafa Kiski Thi.

Read more →

Advertisement

Gam Bhi Khareed Lete

Gham Khareed Lete Shayari

Iss Shaher Mein Hum Jaisa Saudagar Kahah Milega Yaaron,
Hum Gam Bhi Khareed Lete Hai Kisi Ki Khushi Ke Liye.

इस शहर में हम जैसा सौदागर कहाँ मिलेगा यारो,
हम गम भी खरीद लेते हैं किसी की खुशी के लिए।